Islamic Blog

Ek admin Allah ke rasul sallallaho alaiye wa sallam ki khidmat mai hazir ho kar kahene laga Ya Rasulallah! Main apni maa ko kisi tarah ki koi taklif nahi deta fir bhi wo mujhe har kuch kahete raheti hai jisse mujhe bahut taklif hoti hai. Main kya karo? Pyare rasul ne farmaya tum apni maa ka khak adaa karo (ho sakta hai tumhari kisi harkat se unhe taklif pahuchi hogi jiska tumhe ayehesas nahi hota hoga, isiliye wo dukhi ho kar tumhe kuch kahe deti hogi) agar tum apne badan ka gusht kat kar apni maa ko de dalo to bhi unka haq adaa nahi ho sakta. Maa ke kadmo tale Jannat hai.

Danishwaro ka kahene hai maa ka achal jannati ped se kam nahi. Maa ki hakikat samjhne wala aur uska haq aada karne wala jannat ke hakdaar hoge. Janannam ki age uske liye hai jo maa ki nafarmani karte hai. Maa ki baddua se daro-bacho. Unki duao mai awlad ki tarakki wa kamiyabi ka raj hai. Jo awlad maa-baap ki izzat wa khizmat nahi karti wa har khushi se maherum raheti hai. Maa ki mohabbat wa akidat bhairi nazro se dekhna bhi ibadat hai.

Maa-Baap ki nafarmani karna gunah-e-qabira nahi. Maa ne awlad ko 9 mahine tak pet mai rakhkha aur tarah-tarah ki taklife bardasht ki aur fir paidaish ke waqt kitni aur kaisi-kaisi, taklife jhheli, us tarlif ka tum haq ada karo. Maa ayesa saya hai jisse adhera rawshan ho jata hai. Maa ghar ki rawnak wa zinat hai. Jo logo maa-baap ki nafarmani karte hai wah Allah ke rahem wa karam se maherum rahete hai. Unki badduao se bacho. Maa ek dua ki tarah awlado ke sir par saya kiye raheti hai. Inshaniyat ki sachchhi tasveer maa ke chehere par dekhi ja sakti hai. Wah adimi bada hi bad nasib hai jo apne Maa-Baap ki khidmat ,izzat,kar ke unki duaye na le sake. Maa ayesi dawlat hai jo kho jaye to dobara nahi milegi.

Maa Shahensha ke taj se bhi kimti hoti hai. Maa ki mamta ek anmol hera hai. Maa ayesi hai jo apne andar awlad ke lakho raaj chhupaye rakhti hai. Jis ghar mai maa nahi hoti waha virana aur be rawnak lagta hai. Maa ki mamta ki dashtaan badi anmol hai. Maa awlad ke liye Allah ka behetarin atiya aur tofa hai. Isliye Maa ke andar galtiya mat nikalo balki apna farz nibhate rahoge to wah kabhi shikayat ki jaban nahi kholegi.

Allah paak hame apne maa-baap ki khidmat wa izzat karne ki tawfik de Ameen!!

Source :digitalhadith

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm