Islamic Blog

¤ Assalamu Alaikum ¤
Hazrat- Abu Moosa Ashari (r.a) aur Abu Aamir (r.a) ne- Jab *RASOOL E AKRAM* Sal Allahu Alayhi wasallam ki Khidmat me Haazir Ho ker Apne ISLAM Laane ka Elaan kiya-aur- AAP (s.a.w) se Baiyat Huwe
To- AAP (s.a.w) ne Unse Dariyaft Farmaya > Tumhare Kaafile me Ek Khatoon thi – Jise FuLa Naam se Pukara Jata tha – Uska Kya HaaL Hai ?
Unhone Arz kiya > Hamne Us Khatoon ko Us ke Khandan Walo me Chorr Diya Hai
RASOOL E AKRAM (s.a.w) ne Farmaya > Wakiya Yeh Hai – ki- Uski Maghfirat Ho Gayi
Unhone Arz Kiya > Ay ALLAH ke RasooL (s.a.w)- Aakhir Kis Wajha se Uski Maghfirat Ho Gayi
AAP (s.a.w) ne irshad Farmaya > MAA ke Saath Uske “Husn e Sulook” ki Bina Per
Phir – AAP (s.a.w) ne Farmaya > Uski MAA Bahut Boorhi thi – Ek Darane Wale “Munadi, ne Uski Qaum me Aawaz Lagayi > ki- Dushman Tum per AaJ Raat HamLa Karne wala Hai (isliye Tum Basti Chorr kar Nikal Bhago)
Chunanche – Woh Apni Boodhi MAA ko Peeth per Laad kar NikaL Padi
Jab Woh Thak kar Choor Ho Jati – to- Apni MAA ko Neeche Bitha Deti
Aur Apni MAA ko Khud se Dhak Deti -Apna Pet MAA ki Peeth se Chipka Deti
MAA ke Pairo Tale Apne Dono Pair Rakh Deti
Taki MAA ke Paaw Shadeed Garmi se Jhulasne Na Paye
is Tarha se Woh Apni MAA ko Lekar Chalti Gayi
Chunance- Woh Aurat Apne is AmaL ki Wajha se NiJaat Paa Gayi
(Aur *ALLAH TALA* ne Uski Maghfirat Farma Di)
(Baihaki – 208/6 Hadeed no -7924)
Dosto – MAA ke Saath Husno Sulook ka ALLAH ne Yeh Sila Diya -ki- Uske Jeete Ji Uski Maghfirat ka Faisla kar diya
ALLAH – Hum Sabhi ko MAA ke Saath Husne Sulook karne wala Banaye
>>>>> Aameen summa Aameen <<<<<

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm