Islamic Blog

» Bacche(Khwaja Kuthbuddin Bakhtiyar) Ka Yakin «
Hiqayat :- Khwaja Kuthbuddin Bakhtiyar Kaki (Rehamatullah Ta’aala Alaihi) Jab Chote The To Unki Maa Ne Unke Dil Me Allah Ki Mohabbat Daalne Ke Liye Ek Tarika Apnaya!
Jab Aap Madarse Se Aaye, Kaha Ammi! Bhook Lagi Hain! Maa Ne Kaha Beta Ham Bhi Allah-Ta’aala Se Maangte Hain, Wo Deta Hain, Aap Bhi Usi Se Maango,
Kaha Kaise Maangu? Aapki Walida Ne Kaha Bete, Musalle Per Bait Jao, Hath Uthao, Dua Maango! Bacche Ne Dua Maangi Aur Fir Pucha Ammi Ab Kya Karoon? Maa Ne Kaha Kamre Me Jao, Allah-Ta’aala Ne Tumahra Khana Kahin Rakh Diya Hoga! Tou Maa Ne Khana Banaker Chupaya Hua Tha! Bacche Ne Zara Dekha Tou Milgaya!
Tou Ab Bacche Ka Yeh Mamul Bangaya Ki Roz Dua Maangta Aur Usey Khana Miljata! To Bacche Ke Dil Me Allah-Ta’aala Ki Mohabbat Badne Lagi! Maa Badi Khush Thi Ki Meri Tarbiyat Acchi Chal Gayi!
Allah-Ta’aala Ki Shaan, Ki Ek Din Maa Ko Rishtedaron Me Kisi Takrib Me Jana Pada Aur Wahan Der Hogayi! Jab Usko Waqt Ka Khayaal Aaya, Tou Bacche Ke Aane Ka Waqt Ho Chuka Tha Aur Wo Roti Pakaker Aayi Nahi Thi! Lihaza Maa Bechari Ne Burkha Sir Per Rakha Aur Tez-Tez Kadam Utha Rahi Hain, Chal Rahi Hain Aur Aankhon Me Aansu Hain Aur Dil Me Fariyad Hain, Mere Maula Maine Tou Bacche Ko Yakin Banane Keliye Yeh Saara Muamla Kiya Tha Agar Aaj Mere Bacche Ko Khana Na Mila Tou Kahin Uska Yakin Tut Na Jaye, Meri Galti Ko Chipa Lena, Meri Mehnat Ko Zaya Na Karna! Maa Duayen Maangti Hui Aayi Tou Dekha Baccha So Raha Hain, Maa Jaldi Se Aaker Khana Banaya Aur Fir Bacche Ke Gaal Ka Bosa Liya, Usko Uthaker Seene Se Lagaya,
Aur Kaha Beta! Aaj Tou Tumhe Bahoat Bhook Lagi Hogi? Bacche Ne Kaha Nahi, Pucha Kyon? Isliye Ammi Mai Jab Madarse Se Aaya Tha, Aap Bhi Ghar Me Nahi Thi, Maine Musalla Bichaya, Dua Maangi Ki Allah Mujhe Bhook Lagi Hain Aur Aaj Ammi Bhi Ghar Per Nahi Hain Mujhe Khana De De, Ammi Uske Baad Mai Kamre Me Gaya Tou Mujhe Ek Roti Padi Hui Mil Gayi! Wo Maine Khayi, Magar Ammi Jo Maza Mujhe Aaj Aaya Usse Pehle Wo Maza Kabhi Nahi Aaya Tha! Lihaza Unka Naam Pad Gaya Kuthbuddin Bakhtiyar Kaki Rehmatullah Ta’aala Alaihi! Yeh Itne Bade Shaikh Bane Ki Waqt Ke Mughal Baadshah Bhi Unke Mureed Bangaye!

-: (Sukoon-A-Khana, Pg-206-07)

mm
Latest posts by Færhæn Ahmæd (see all)