Beautiful post for all Mothers!!!
( Maa ko apne bacche ko Dhoodh Pilane ka sawab )
Jab bacche ko doodh pilane ka time yaani shariyat ke hisab se 2 saal khatam ho jata hai to farishte us Maa ko khush khabri sunate hai ki Allah ta’ala ne tujh pe jannat wajib kar dee.
Subhan Allah.
(MAA KI SHAAN)
MAA k qadmoon tale Jannat hai.
MAA ki mohabbat phool se ziada taro taza or lutf hai.
MAA aik phool hai jo duniya k kantte chhubne k bawajod muskurati hai.
MAA k bagair ghar suna suna lagta hai.
MAA ki aghosh duniya ki pehli dars gah hai.
MAA zindagi ki tarikh rahon main roshni ka minar hai-
MAA ki nafarmani kabirah gunah hoon main
se hai.
MAA ki bad dua se bacho kiun k KHUDA aur
is k darmiyaan koi parda nahi.
MAA ko museebat k waqt jab bhi yaad karti
hoon to mujhe sakoon milta hai.
MAA se badkar koi ustad nahi.
MAA aik kitab ki mand hai.
MAA insaan ko sab se zyada pyaar karne
wali hasti.
MAA ki nafarmani karne wala Jannat mein
dakhil nahi hoga.
MAA aik aisa darakht hai jis ka saya zindagi
ki thakan door karta hai.
MAA ki dua kamiyabi ka raaz hai.
MAA duniya ki azeez tareen hasti hai.
MAA ki khushnodi duniya mein baas dolat aur
akhirat main baas nijad hai.
MAA ka saya thandi chhuon hai.
MAA dukhon ka madawa hai.
MAA k bagair kainaat na mukummal hai.
MAA aik Mohabbat Aisa Dariya Hai
K Barish Rooth Bhi Jaye
To Pani kuM Nahi Hota….
Love And Respect Your Mother
Allah Rabbul Izzat Hum Sab Ko Apne Walidain Ka Farmaan Bardaar Banaien…
Aameen!
- Allah subhanahu se Magfirat aur Aafyiat manga karo kyuki - 14th June 2017
- Sajda e Tilawat ki dua - 14th June 2017
- Bewaon aur miskeenon ke kaam aaney wala - 14th June 2017