Sab Aashiqaan e Rasool ko Huzoor Habeebullāh Khair e Khalqillāh Asharaful Ambiya Rasool e aazam Khaatim ul Ambiya Rahmatullil aalameen Sultaan e daarain Sarwar e kaa’inat Noor waale Aaqa Haadi-us-subool Shafi e Umam Muhammad Mustafa sallallāhu alaihi wa sallam ki wilaadat ka maheena mubarak ho.
***************
♦ Maah e Rabi’ ul Awwal ke khaas din :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
1 Rabi’-ul-Awwal – Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Muhammad Zaahid Wakhshi rahmatullāhi alaihi (Vakhsh / Tajikistan);
3 Rabi’-ul-Awwal – Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Fuzail bin Ayaaz rahmatullāhi alaihi (Makka mukarrama);
3 Rabi’-ul-Awwal – Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Baha-ud-deen Naqshband rahmatullāhi alaihi (Bukhara / Uzbekistan);
3 Rabi’-ul-Awwal – Yaum e Wisaal Hazrat Sher Muhammad Sharqpuri rahmatullāhi alaihi (Sharqpur / Pakistan);
4 Rabi’-ul-Awwal – Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Abu Muhammad Chishti rahmatullāhi alaihi (Chisht / Syria);
4 Rabi’-ul-Awwal – Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Abu Ali Faarmadi rahmatullāhi alaihi (Faarmad, Khurasan / Iran);
5 Rabi’-ul-Awwal – Yaum e Wisaal Sayyeda Sakeena binte Husain rahmatullāhi alaihi;
6 Rabi’-ul-Awwal – Yaum e Wisaal Hazrat Shaah Muntajeeb-ud-deen urfe Zarzari Bakhsh Dulha rahmatullāhi alaihi (Khuldabad, Maharashtra);
6 Rabi’-ul-Awwal – Yaum e Wisaal Hazrat Shaikh Allāh-Bakhsh Abbaasi Naqshbandi rahmatullāhi alaihi (Allahabad, Sindh / Pakistan);
6 Rabi’-ul-Awwal – Yaum e Wisaal Hazrat Sayyed Ahmad Baadshaah Peer rahmatullāhi alaihi (Durban / South Africa);
7 Rabi’-ul-Awwal – Yaum e Wisaal Hazrat Miyan Meer rahmatullāhi alaihi (Lahore / Pakistan);
7 Rabi’-ul-Awwal – Yaum e Wisaal Hazrat Shaah Hamadani rahmatullāhi alaihi (Kashmir);
8 Rabi’-ul-Awwal – Yaum e Wisaal Hazrat Imaam Hasan al-Askari rahmatullāhi alaihi (Samarra / Iraq);
8 Rabi’-ul-Awwal – Yaum e Wisaal Hazrat Haaji Sayyed Muhammad Mahmood Shaah Jalandhari rahmatullāhi alaihi (Jalandhar, Punjab);
9 Rabi’-ul-Awwal – Yaum e Wisaal Hazrat Shaikh Muhammad Maasoom Sirhindi rahmatullāhi alaihi (Sirhind, Punjab);
10 Rabi’-ul-Awwal – Yaum e Wisaal Hazrat Peer Makki Shaah rahmatullāhi alaihi;
12 Rabi’-ul-Awwal – Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Abdul Khaaliq Ghujdwani rahmatullāhi alaihi (Bukhara, Uzbekistan);
13 Rabi’-ul-Awwal – Yaum e Wisaal Hazrat Makhdoom Ala-ud-deen Ali Ahmad Saabir rahmatullāhi alaihi (Kaliyar, Uttarakhand);
14 Rabi’-ul-Awwal – Yaum e Wisaal Hazrat Hazrat Khwaja Qutb-ud-deen Bakhtiar Kaaki rahmatulāhi alaihi (Delhi);
16 Rabi’-ul-Awwal – Yaum e Wisaal Hazrat Shaikh-ul-Hadees Abdul Mustafa Azhari rahmatullāhi alaihi (Karachi / Pakistan)
17 Rabi’-ul-Awwal – Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Mahmood Anjir-Faghnawi rahmatullāhi alaihi (Wabakna / Uzbekistan);
17 Rabi’-ul-Awwal – Yaum e Wisaal Hazrat Aale Ahmad urfe Achhe Miyan Marehrwi rahmatullāhi alaihi (Marehra, Uttar Pradesh);
17 Rabi’-ul-Awwal – Yaum e Wisaal Hazrat Shaah Muhammad Ghaus Qaadri rahmatullāhi alaihi (Lahore / Pakistan);
19 Rabi’-ul-Awwal – Yaum e Wisaal Hazrat Mufti-e-Aazam e Pakistan Mufti Waqaar-ud-deen rahmatullāhi alaihi (Karachi / Pakistan)
21 Rabi’-ul-Awwal – Yaum e Wisaal Hazrat Shaikh Abdul Haq Muhaddees Dehlwi rahmatullāhi alaihi (Delhi);
22 Rabi’-ul-Awwal – Yaum e Wisaal Hazrat Maulana Shaah Fazl-e-Rahmān Gunjmuradabadi rahmatullāhi alaihi;
22 Rabi’-ul-Awwal – Yaum e Wisaal Hazrat Sayyed Shaah Muzaffar Qaadri Jeelaani rahmatullāhi alaihi (Una, Gujarat);
23 Rabi’-ul-Awwal – Yaum e Wisaal Hazrat Rabia Basri al-Adawiyya rahmatullāhi alaihi (Basra / Iraq):
24 Rabi’-ul-Awwal – Yaum e Wisaal Hazrat Shaah Kaleemullāh Jahanabadi rahmatullāhi alaihi (Shah Jahanabad, Delhi);
25 Rabi’-ul-Awwal – Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Shams-ud-deen Muhammad Chishti rahmatullāhi alaihi;
26 Rabi’-ul-Awwal – Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Muhammad Siraaj-ud-deen Naqshbandi rahmatullāhi alaihi (Dera Ismāeel Khan, Pakistan);
26 Rabi’-ul-Awwal – Urs Hazrat Bu Shaah Ali Qalandar rahmatullāhi alaihi (Panipat, Haryana);
27 Rabi’-ul-Awwal – Yaum e Wisaal Hazrat Burhaan-ul-Haq Jabalpuri rahmatullāhi alaihi (Jabalpur);
27 Rabi’-ul-Awwal – Yaum e Wisaal Hazrat Shaikh Sayyed Mohiy-ud-deen Abu Nasr Mohammad rahmatullāhi alaihi (Baghdad / Iraq);
28 Rabi’-ul-Awwal – Yaum e Wisaal Hazrat Qaazi Sayyed Ismā’eel Isfahani rahmatullāhi alaihi (Ahmedabad, Gujarat);
29 Rabi’-ul-Awwal – Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Ubaidullāh Ahraar rahmatullāhi alaihi (Samarqand, Uzbekistan);
29 Rabi’-ul-Awwal – Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Shaikh Mohammad Chishti (Ahmedabad, Gujarat).
*********
Aashiqane Mustafa se guzarish hai ke
Is mubarak mahine me zyada Namaaz padhen aur Tilawaat e Qur’an karen,
Zyada Durood o Salaam padhen,
Sunnato ko sikhkar apnayen,
Saadaat ki khaas khidmat karen,
Sadqa- Khairaat zyada karen,
Ghareebo, Mohtaajo ki imdaad karen,
Beemaar aur kamzor ki khidmat karen,
Buzurgo ko isaal e sawaab karte rahen,
Sahi ilm e deen sikhen aur dusro ko sikhayen,
Aise amal karen jis se Islaam aur Musalmano ko izzat aur shaan badhe,
Sab ke liye Hidaayat ki aur Khair o barkat ki dua karen,
Khaatma bil khair ki aur Maut ki, Qabr ki aur Qayaamat ki pareshaaniyo se hifaazat aur najaat ki dua karen.
********
ALLĀH ta’ala is Maah e mubarak me us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ko hidayat ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifazat farmae aur Sahi tareeqe se zyada ibaadat karne ki taufiq ata farmae aur Hamare nek amal qubool farmae aur in buzurgaan e deen ko isaal e sawaab karne ki taufiq ata farmae aur Islaam ka bolbala ata farmae.
Aur in baato ko yaad rakhkar us par amal karne ki aur dusro ko bataane ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyabi aur izzat ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz murado ko puri farmae.
Aameen.
- मिसवाक के फायदे | मिस्वाक | Miswak Benefits - 9th April 2021
- BANGALORE RAMADAN TIMING 2021 - 8th April 2021
- HYDERABAD RAMADAN TIMING 2021 - 8th April 2021