Islamic Blog

Sab Aashiqaan e Rasool ko Eid e Ghausiya ka mahina Mubarak ho.

***************
Chaand dekhkar Surah al-Zilzaal padhen :

Izaa zulzilatil ardu zilzaalaha.
Wa akhrajatil ardu iṡqaalaha.
Wa qaalal insaanu maa-lahaa.
Yaum’izin tuhaddiṡu akhbaarahaa.
Bianna rabbaka awhā.
Yaum’izin yasdurun naasu ahtatanl, Liyuraw a’amaalahum.
Famany ya’amal misqaala zarratin khayrany yarahū.
Wa may ya’amal misqaala zarratin sharrany yarahū.

Phir ye masnoon dua padhen :
Allāhumma ad’khilhu alayna bil amni wal eimaani was salaamati wal islaami wa rizwaanim minar rahmāni wa jawaarim minash shaitaani.

Tarjuma :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aye ALLĀH is (mahine) ko hum par amn aur eimaan aur salaamati aur islaam ke saath aur Rahmān ki khushnoodi aur shaitaan se hifaazat [panaah] ke saath shuru farma.

(Al-Mujamul-Awsat, Hadees -6241)

***************
Maah e Rabi’ us Saani ke khaas din :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾

1 Rabi’ us Saani – Yaum e wisaal Hazrat Haaji Abdul Ghaffaar Ashrafi rahmatullāhi alaihi;
1 Rabi’ us Saani – Yaum e wisaal Hazrat Mo’min Shaah rahmatullāhi alaihi (Chandrapur, Gujarat);
3 Rabi’ us Saani – Yaum e wisaal Ummul mo’mineen Hazrate Umme Salma radiy-Allāhu anhu (Madeena munawwara);
3 Rabi’ us Saani – Yaum e wisaal Hazrat Habeeb al-Ajami rahmatullāhi alaihi (Baghdad / Iraq);
3 Rabi’ us Saani – Yaum e wisaal Hazrat Rifaaqat Husain rahmatullāhi alaihi (Muzaffarpur);
4 Rabi’ us Saani – Yaum e wisaal Hazrat Sayyed Rizqullāh Shaah Qaadri Jeelaani rahmatullāhi alaihi (Kodinar, Gujarat);
4 Rabi’ us Saani – Yaum e wisaal Hazrat Sultaan Nasir-ud-deen Ahmad Shaah rahmatullāhi alaihi (Ahmedabad, Gujarat);
5 Rabi’ us Saani – Yaum e wisaal Hazrat Shaah Mahmood Soofi Sarmast rahmatullāhi alaihi (Sagar);
5 Rabi’ us Saani – Yaum e wisaal Hazrat Sayyed Shaah Ibrāheem Irji rahmatullāhi alaihi (Delhi);
6 Rabi’ us Saani – Yaum e wisaal Hazrat Sharf-ud-deen Qaasim Qaadri rahmatullāhi alaihi (Hama / Pakistan);
7 Rabi’ us Saani – Yaum e wisaal Hazrat Imaam Maalik bin Anas rahmatullāhi alaihi (Madeena munawwara);
7 Rabi’ us Saani – Yaum e wisaal Hazrat Baalam Shaah rahmatullāhi alaihi (Fudam, Diu);
9 Rabi’ us Saani – Yaum e wisaal Hazrat Imaam Ahmad bin Hanbal rahmatullāhi alaihi (Baghdad / Iraq);
9 Rabi’ us Saani – Yaum e wisaal Hazrat Allama Mushtaaq Ahmad Nizaami rahmatullāhi alaihi;
9 Rabi’ us Saani – Yaum e wisaal Hazrat Khawaja Ghulaam Fareed rahmatullāhi alaihi (Kot Mithan);
10 Rabi’ us Saani – Yaum e wisaal Hazrat Maulana Ne’amatullāh Miyan Gunjmuradabadi rahmatullāhi alaihi;
11 Rabi’ us Saani – Yaum e Wisaal Hazrat Ghaus e aazam Shaikh Mohiy-ud-deen Abdul Qaadir Jeelaani radiy-Allāhu anhu (Baghdad / Iraq);
11 Rabi’ us Saani – Yaum e wisaal Sayyed Niyaaz Ali Chishti rahmatullāhi alaihi (Kolkata);
12 Rabi’ us Saani – Yaum e wisaal Hazrat Dulha Shaah Bukhari Sabzwari rahmatullāhi alaihi (Karachi / Pakistan);
14 Rabi’ us Saani – Yaum e wisaal Hazrat Abu Ishāq Shaami Chishti rahmatullāhi alaihi (Akka / Syria);
14 Rabi’ us Saani – Yaum e wisaal Hazrat Ahmad Mohiy-ud-deen Noori Shaah Jeelaani rahmatullāhi alaihi (Bandlaguda, Hyderabad, Andhra Pradesh);
15 Rabi’ us Saani – Yaum e wisaal Hazrat Ahsan ul ulma Sayyed Shaah Mustafa Haidar Hasan Barkaati rahmatullāhi alaihi (Marehra, Uttar Pradesh);
15 Rabi’ us Saani – Yaum e wisaal Hazrat Hasan miyan Barkaati rahmatullāhi alaihi (Marehra, Uttar Pradesh);
16 Rabi’ us Saani – Yaum e wisaal Hazrat Peer Shaah Shams-ud-deen Sabzwari rahmatullāhi alaihi (Multan / Pakistan);
16 Rabi’ us Saani – Hazrat Haaji Ali Shaah Bukhari rahmatullāhi alaihi (Mumbai, Maharashtra);
18 Rabi’ us Saani – Yaum e wisaal Hazrat Khwaja Nizaam-ud-deen Auliya rahmatullāhi alaihi (Delhi);
18 Rabi’ us Saani – Yaum e wisaal Hazrat Sayyed Shaah Hammaad Ahamd Saabir Qaadri rahmatullāhi alaihi (Aurangabad, Bihar);
21 Rabi’ us Saani – Yaum e wisaal Hazrat Sayyed Ismā’eel Hasan rahmatullāhi alaihi (Marehra, Uttar Pradesh);
22 Rabi’ us Saani – Yaum e wisaal Hazrat Shaikh Muhiy-ud-deen ibne Arabi rahmatullāhi alaihi (Damascus / Syria);
22 Rabi’ us Saani – Yaum e wisaal Hazrat Soofi Imaam-ud-deen Chishti rahmatullāhi alaihi (Maktsargadh);
26 Rabi’ us Saani – Yaum e wisaal Hazrat Allama Sayyed Zaheer Ahmad Zaidi rahmatullāhi alaihi;
26 Rabi’ us Saani – Yaum e wisaal Hazrat Sayyed Muhammad Hasan Kausar Baaba rahmatullāhi alaihi (Karachi / Pakistan);
26 Rabi’ us Saani – Yaum e wisaal Hazrat Dost Mohammad rahmatullāhi alaihi (Aurangabad);
27 Rabi’ us Saani – Yaum e wisaal Hazrat Khawaja Daawūd Taai rahmatullāhi alaihi (Kufa / Iraq);
28 Rabi’ us Saani – Yaum e wisaal Hazrat Maulana Abdur Rahmān Jaami rahmatullāhi alaihi (Herat / Afghanistan);

*********
Aashiqane Mustafa se guzarish hai ke

Is mubarak mahine me Zyada Namaaz padhen aur Tilawaat e Qur’an karen,
Zyada Durood o Salaam padhen,
Ghaus e aazam Peeran e Peer radiy-Allāhu ta’ala anhu ke hayaat e tayyabah aur fazaa’il ka bayaan sune aur padhen,
Sunnato ko apnayen,
Sadqa- Khairaat zyada karen,
Ghareebo, Mohtajo ki imdaad karen,
Beemar aur Jaeefo ki khidmat karen,
Saadat ki khaas khidmat karen,
Buzurgo ko isaal e sawaab karte rahen,
Sahi ilme deen sikhen aur dusro ko sikhayen,
Aise amal karen jis se Islaam aur Musalmano ki shaan badhe,
Sab ke liye Hidaayat ki aur Sahi aqeede ke saath sahi nek amal ki taufiq ki dua karen,
Khaatma bil khair ki aur Maut ki, Qabr ki aur Qayaamat ki pareshaniyo se hifazat aur najaat ki dua karen.

********
ALLĀH ta’ala is Maah e mubarak me us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ko hidaayat ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sahi tareeqe se zyada ibaadat karne ki taufiq ata farmae aur Hamare nek amal qubool farmae aur in buzurgaan e deen ko isaal e sawaab karne ki taufiq ata farmae aur Islaam ka bolbala ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi aur izzat ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aur in baato ko yaad rakhkar us par amal karne ki aur dusro ko bataane ki taufiq ata farmae.
Aameen.

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm