Maah e Rajab Mubarak.
♦
♦
♦
♦
♦
♦
♦
♦
‘Rajab’ ka ma’ana hai ‘Ta’azeem karna’.
Ahle Arab is mahine ki khaas ta’azeem kiya karte the.
Is ko ‘Al-Asab’ bhi kehte hain ya’ni Tez bahaav.
Is Maah e mubarak me Tauba karne waalo par Rahmat ka bahaav tez ho jaata aur Ibaadat karne waalo par Qubooliyat ke anwaar ka Faizaan hota hai.
**************
Is barkat wa rahmat aur fazeelat waale mahine me Shab e Me’araaj hai.
27wi Rajab ki mubarak raat me ALLĀH ta’ala ne apne Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ko Me’araj ata farmai aur aap ko La makaan ki us bulandi par bulaaya jis ka koi tasawwur bhi nahi kar sakta aur aap ko Rab ta’ala ne apna deedaar karaaya aur aap se kalaam kiya aur Mo’mino ke liye Namaaz ka tohfa ata farmaaya.
********************
Maahe Rajab ka chaand dekhkar Surah al-Ādiyaat padhen :
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
وَالْعَادِيَاتِ ضَبْحًا
فَالْمُورِيَاتِ قَدْحًا
فَالْمُغِيرَاتِ صُبْحًا
فَوَسَطْنَ بِهِ جَمْعًا
إِنَّ الْإِنْسَانَ لِرَبِّهِ لَكَنُودٌ
وَإِنَّهُ عَلَىٰ ذَٰلِكَ لَشَهِيدٌ
وَإِنَّهُ لِحُبِّ الْخَيْرِ لَشَدِي
۞ أَفَلَا يَعْلَمُ إِذَا بُعْثِرَ مَا فِي الْقُبُورِ
وَحُصِّلَ مَا فِي الصُّدُورِ
إِنَّ رَبَّهُمْ بِهِمْ يَوْمَئِذٍ لَخَبِيرٌ
Bismillāh ir-Rahmān ir-Raheem.
Wal-ādiyāti dab’ha.
Fal-mooriyāti qad’ha.
Fal-mogheerāti sub’ha.
Fa-aṡrna bihī naq’a.
Fa-wasatna bihī jam’a.
Innal insaana lirabbihī lakanoodu.
Wa innahū alā zālika lashaheedu.
Wa innahū lihubbil khayri lashadeedu.
Afalaa ya’alamu izaa bu’aṡiru maa feel quboor.
Wa hussila maa fees sudoor.
Inna rabbahum bihim yawma’izin lakhabeeru.
Phir ye masnoon dua padhen :
Allāhumma ad’khilhu alayna bil amni wal eimaani was salaamati wal islaami wa rizwaanim minar rahmāni wa jawaarim minash shaitaani.
Tarjuma :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aye ALLĀH is (mahine) ko hum par amn aur eimaan aur salaamati aur islaam ke saath aur Rahmān ki khushnoodi aur shaitaan se hifaazat [panaah] ke saath shuru farma.
(Al-Mujamul-Awsat, Hadeeṡ -6241)
********
Phir Dua e Maah e Rajab ul Murajjab padhen :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
اللَّهُمَّ بَارِكْ لَنَا في رَجَبٍ وَ شَعْبَانَ وَ بَلِّغْنا رَمَضَان
Allāhumma baarik lana fee Rajab wa Sha’abaan wa ballighna Ramadaan.
Tarjuma :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aye ALLĀH, Hume Maah e Rajab aur Sha’abaan ki barkate ata farma aur Maah e Ramazaan tak pahunchne me aasaani ata farma.
Translation :
O ALLĀH, Grant us blessings in the month of Rajab & Sha’abaan & make us reach safely the month of Ramazaan.
*************
Hadeeṡ e Nabawi :
Hazrat Anas bin Maalik radiy-Allāhu ta’ala anhu se riwaayat hai ki :
Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne irshaad farmaaya
‘Jannat me ek naher hai jise Rajab kehte hain jo doodh se zyada safed aur shahed se zyada meethi hai. Jo maahe Rajab ke Roze rakhega ALLĀH ta’ala use is naher se shairaab karega.’
(Shoab-ul-Eimaan, 3/367)
********
Maah e Rajab ke khaas din :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
1 Rajab – Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Qutub-ud-deen Maudood Chishti rahmatullāhi alaihi (Chisht / Afghanistan);
2 Rajab – Yaum e Wisaal Hazrat Ghulaam Yaseen Shaah Jamaali rahmatullāhi alaihi (Dera Ghazi Khan / Pakistan);
2 Rajab – Yaum e Wisaal Hazrat Shaah Ghulaam Muhammad Soofie rahmatullāhi alaihi (Durban / South Africa);
2 Rajab – Yaum e Wisaal Hazrat Allama Abul Hasnaat Sayyed Mohammad Ahmad Qaadri rahmatullāhi alaihi (Lahore / Pakistan);
2 Rajab – Yaum e Wisaal Hazrat Sayyed Abdul Haleem Shaah Daatar Bhandaari rahmatullāhi alaihi (Ankleshwar, Gujarat);
3 Rajab – Yaum e Wisaal Hazrat Imaam Ali al-Haadi an-Naqi rahmatullāhi alaihi (Samarra / Iraq);
3 Rajab – Yaum e Wisaal Hazrat Haaji Noor-ud-deen Shareef Zandani rahmatullāhi alaihi (Qunooh / Syria);
3 Rajab – Yaum e Wisaal Hazrat Maulana Mufti Taqaddus Ali Khan Razawi rahmatullāhi alaihi (
5 Rajab – Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Hasan Basri rahmatullāhi alaihi (Basra / Iraq)
6 Rajab – Yaum e Wisaal Hazrat Sultan-ul-Hind Khwaja Ghareeb Nawaaz rahmatullāhi alaihi (Ajmer, Rajasthan);
7 Rajab – Yaum e Wisaal Hazrat Ain-ud-deen Shaami rahmatullāhi alaihi;
8 Rajab – Yaum e Wisaal Hazrat Shams Tabrizi rahmatullāhi alaihi (Khoy / Iran);
8 Rajab – Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Faiz Muhammad Shaah Jamaali Chishti rahmatullāhi alaihi (Sandil, Dera Ghazi Khan / Pakistan);
8 Rajab – Urs Hazrat Hazrat Shaheed Mahmood Shaah Bukhari rahmatullāhi alaihi (Bhadiyad, Gujarat);
9 Rajab – Yaum e Wisaal Hazrat Shaah Gada-ur-Rahmān Abbaas rahmatullāhi alaihi;
9 Rajab – Yaum e Wisaal Hazrat Sarkar e Kalaan Allama Muhammad Sayyed Shaah Mukhtaar Ashraf al-Ashrafi rahmatullāhi alaihi (Kichhauchha, Uttar Pradesh);
10 Rajab – Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Moosā Suhaag rahmatullāhi alaihi (Ahmedabad, Gujarat);
11 Rajab – Yaum e Wisaal Hazrat Makhdoom Shaah Mohammad Munem paak Chishti rahmatullāhi alaihi (Patna, Bihar);
11 Rajab – Yaum e Wisaal Hazrat Sayyed Abul Husain Ahmad-e-Noori Miyan Barkaati rahmatullāhi alaihi (Marehra, Uttar Pradesh);
11 Rajab – Yaum e Wisaal Hazrat Sayyed Shaah Ali Husain Ashrafi rahmatullāhi alaihi (Kichhauchha, Uttar Pradesh);
12 Rajab – Yaum e Wisaal Hazrat Abbaas ibn Abdul Muttalib radiy-Allāhu ta’ala anhu (Madeena munawwara);
12 Rajab – Yaum e Wisaal Hazrat Nizaam-ud-deen Mohammad Maqbool e aalam rahmatullāhi alaihi (Ahmedabad, Gujarat);
13 Rajab – Yaum e Wilaadat Hazrat Ali al-Murtaza radiy-Allāhu ta’ala anhu;
13 Rajab – Yaum e Wisaal Hazrat Imaam Tirmizi rahmatullāhi alaihi (Sherobod / Uzbekistan);
13 Rajab – Yaum e wisaal Hazrat Abu Yousuf Chishti rahmatullāhi alaihi (Chisht / Syria);
13 Rajab – Yaum e Wisaal Hazrat Meer Sayyed Moosā Qaadri Jeelaani rahmatullāhi alaihi (Baghdad / Iraq);
14 Rajab – Yaum e Wisaal Ummul mo’mineen Hazrate Zainab binte Jahsh radiy-Allāhu ta’ala anha (Madeena munawwara);
14 Rajab – Yaum e Wisaal Hazrat Ghaazi Sayyed Saalaar Mas’ood rahmatullāhi alaihi (Bahraich, Uttar Pradesh);
14 Rajab – Yaum e Wisaal Hazrat Ghaiban Shaah rahmatullāhi alaihi (Rajkot, Gujarat);
15 Rajab – Yaum e Wisaal Haaji Mohammad Jahaangeer rahmatullāhi alaihi (Ajmer, Rajasthan);
15 Rajab – Yaum e Wisaal Hazrat Imaam Ja’afar al-Saadiq rahmatullāhi alaihi (Madeena munawwara);
15 Rajab – Yaum e Wisaal Hazrat Umar bin Abdul Azeez rahmatullāhi alaihi (Aleppo / Syria);
16 Rajab – Yaum e Wisaal Hazrat Muhaddees e Aazam e Hind Sayyed Shaah Muhammad Ashrafi rahmatullāhi alaihi (Kichhauchha, Uttar Pradesh);
16 Rajab – Yaum e Wisaal Hazrat Sayyed Ahmad Shaah Qaadri urfe Nagaarchi Peer rahmatullāhi alaihi (Jambur, Gujarat);
17 Rajab – Yaum e Wisaal Hazrat Abdul Azeez urfe Urjun Shaah Suharwardi rahmatullāhi alaihi (Petlad, Gujarat);
18 Rajab – Yaum e Wisaal Hazrat Sadr-ul-ulema Tehsin Raza Khan rahmatullāhi alaihi (Bareilly, Uttar Pradesh);
20 Rajab – Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Ala-ud-deen Attaar rahmatullāhi alaihi (Jafaaniyan / Uzbekistan);
21 Rajab – Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Abu Bakr Tusi urfe Matka Peer rahmatullāhi alaihi (Delhi);
21 Rajab – Yaum e Wisaal Hazrat Qaazi Zia-ud-deen rahmatullāhi alaihi (Lucknow, Uttar Pradesh);
21 Rajab – Yaum e Wisaal Hazrat Maulana Mohammad Shafi Okarwi rahmatullāhi alaihi (Karachi, Pakistan);
21 Rajab – Yaum e Wisaal Hazrat Maulana Sayyed Deedaar Ali Shaah rahmatullāhi alaihi (Lahore / Pakistan);
24 Rajab – Urs Hazrat Khwaja Ala-ul-Haq Pandwi rahmatullāhi alaihi (Pandua, Bengal);
25 Rajab – Yaum e Wisaal Hazrat Imaam Moosā al-Kaazim rahmatullāhi alaihi (Kazimain / Iraq);
25 Rajab – Yaum e Wisaal Hazrat Imaam Muslim Mohaddeeṡ rahmatullāhi alaihi (Nasarabad / Iran);
25 Rajab – Yaum e Wisaal Hazrat Qaazi Sana’ullāh Panipati rahmatullāhi alaihi;
25 Rajab – Yaum e Urs Hazrat Jalaal-ud-deen Shaah Qaadri rahmatullāhi alaihi (Mumbai, Maharashtra);
25 Rajab – Yaum e Wisaal Hazrat Shaah Abdul Azeez Soofie rahmatullāhi alaihi (Durban / South Africa);
26 Rajab – Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Sayyed Fakhr-ud-deen Gurdezi rahmatullāhi alaihi (Ajmer, Rajashtan);
27 Rajab – Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Yousuf al-Hamadani rahmatullāhi alaihi (Merv / Turkmenistan);
27 Rajab – Yaum e Wisaal Hazrat Junaid Baghdadi rahmatullāhi alaihi (Baghdad / Iraq);
27 Rajab – Yaum e Wisaal Hazrat Shaikh Abu Saaleh Nasr rahmatullāhi alaihi (Baghdad / Iraq);
27 Rajab – Yaum e Wisaal Hazrat Imaam Abu Yousuf rahmatullāhi alaihi (Baghdad / Iraq);
27 Rajab – Yaum e Wisaal Hazrat Jannan Shaah Tabrizi rahmatullāhi alaihi (Velan, Gujarat);
28 Rajab – Yaum e Wisaal Hazrat Malik Qutb-ud-deen Suharwardi rahmatullāhi alaihi (Ahmedabad, Gujarat);
29 Rajab – Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Muhammad Abdullāh Bharchundi rahmatullāhi alaihi;
30 Rajab – Yaum e Wisaal Hazrat Imaam Shafi’i rahmatullāhi alaihi (Fustat / Egypt).
********
ALLĀH ta’ala is Maah e mubarak me us ke Habeeb sallallāhu alaihi wasallam ke sadqe me aur Ahle bait aur Khwaja Gareeb nawaaz rahmatullāhi alaihi ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ko hidaayat ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sahi tareeqe se zyada ibaadat karne ki taufiq ata farmae aur Hamare nek amal qubool farmae aur In buzurgaan e deen ko isaal e sawaab karne ki taufiq ata farmae aur Islaam ka bolbala ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi aur izzat ata farmae aur Sab ki nek jaaiz muraado ko puri farmae aur Sab ko Ilm me, Amal me aur Rizq me barkat ata farmae.
Aur in baato ko yaad rakhkar us par amal karne ki aur dusro ko bataane ki taufiq ata farmae.
Aameen.
- Allah subhanahu se Magfirat aur Aafyiat manga karo kyuki - 14th June 2017
- Sajda e Tilawat ki dua - 14th June 2017
- Bewaon aur miskeenon ke kaam aaney wala - 14th June 2017