Islamic Blog

Jaisa ke hum sab jaante hain humare
Maa – Baap humare liye Allah ki taraf se
humare liye wo beshqeemati tohfa hain
jo hume zindagi jeene ka saleeka
sikhate hain ,humari khushi mein hi
unki khushi hoti,humari jeet mein unki
jeet hoti hai aut agar kabhi jo hum
udaas hote hain to wo apni khushiyon
ko humari khushi ke liye qurban kar
dete hain .. Humari ek muskaan ki
khatir wo apni neend aur chain bhi
qurban kar dete hain … . Humari zindagi
pe unke jo ehehsan hote hain ,shayed
hum un ehsan ka badla kabhi nahi
chuka sakte .
Unki itni qurbaaniyon ke baad bhi agar
hum unke sath khushAkhlaqi se pesh
nahi aate hain to fir hum shayed hum
Duniya ke sabse badnaseeb insan
honge … . Isliye hume humesha unse
khushAkhlaqi se pesh aani chahiye .

ALLAH TAALA NE FARMAAYA :
“Aur tere Parwardigaar Ne huqm De
Rakha hai ke Mere Elaawa Kisi ki
Ibaadat Mat karo, Aur Apne Maa Baap
Se Acchha Sulook Kiya Karna , Agar
Unme Se ek Ya Dono Teri Maujoodagi
Me Budhaape Ko Pahunche ( toh unki
Khidmat karte hue) Tum Unko ‘ uff ‘ tak
Bhi Na kahna Aur Na Unko Jhidakna
Aur Na unko Taqleef Dena ( warna unka
Zara sa bhi Dil toota Toh Teri Khair
Nahin ) ,
Aur Muhabbat Se unke Aage Jhuk
Jaaya Karna Aur ( Unke Liye Dua Karte
Hue ) Kaha Karna Ki
Aiy mere Parwardigaar ! Un dono Par
Raham Farma, Jaisa Ki Unhone Mujhe
Bachpan Me paala Posa ”
( Surah bani Israel ayat 23- 24)
**********************************************************************
Aulaad Par Walidain Ke Fazl- o- Ehsaan
Se Kisi Ko Inkaar Nahi Ho sakta ,
Walidain Hi Humare Wajood Me Aane
Ka Sabab Hain Aur Is Par Inn Ke
Azeem Huqooq Hain , Unho Ne Bachpan
Me Humari Parwarish Ki, Humari Rahat
Aur Aasaaish Ke Liye Hamesha
Takleefein Uthai ,
Humari Neend Ke liye Khud Apni Neend
Qurbaan Kardi. .. .
Isi Tarah Baap Bhi Tumhari Rozi Roti
Keliye Humare Bachpan Se Lekar Bade
Hone Tak Dour Dhoop Karta Raha, Aur
Humari Tarbiyat Aur Rahnumai Karta
Rahe , Jabke Hum Apne Nafaa Nuqsan
Ka Shaoor Nahi Rakhte The,
Isi Liye ALLAH Subhana Talah Ne
Aulaad Ko Waldain Ke Sath Husn Suluk
Aur Shukar Guzari Ka Hukum Diya Hai ,
Hum Par Waldain Ka Yeh Haqq Hai Ke
Hum Unn Ke Sath Huns Suluk Karein ,
Qauli Aur Amli Taur Par ,
Mal Ke Zariye Aur Jism Ke Zariye Unn
Ke Sath Ehsaan Karo ,
Unn Ka Kaha Maano , Unnse Narmi Ke
Sath Guftagoo Karo , Unnse
QandaPeshani Se Paish Aao, Unnke
Shayan – e – Shaan Unnki Khidmat karo,
Budhape ,Ya Beemari Ya Kamzoori Ke
Waqt Unnse Tangdil Naa Ho , Aur Unnki
Janib Se Bojh Mehsoos Naa Karo ,
Baad Mein Hum Bhi Unhi Ke Muqaam
Par Honge, Jis Tarah Woh Humare Maa
Baap Hain , Agar Zindagi Rahi Toh Hum
Bhi Isi Tarah Apni Aulaad Ke Saamne
Budhape Ko Pahunchenge ,
Jis Tarah Aaj Woh Humari Khidmat Ke
Zarooratmand Hain Isi Tarah Hum Bhi
Apni Aulaad Ki Qidmat Ke
Zarooratmand Honge ,
Agar Humne Apne Walidain Ki Khidmat
Guzari Ki Hain Toh ALLAH Se Azeem
Ajr – o- Sawab Ki Aur Apni Aulaad Se Isi
Ki Misal Badle ki Khushi Lenge { insha
Allah }
Kyunke Jo Apne Waldain Ki Qidmat
Karta Hai Uski Aulaad Bhi Usski
Khidmat Karti Hai , Aur Jo Apne
Walidain Ki Naa Farmani Karta Hai ,
Uski Aulaad Bhi Usski Naa Farmani
Karti Hai ,
Badla Amal Hi Se Hota Hai , Jaisa
Karoge Waisa Paaoge

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)

One Response