Islamic Blog

♥ Mafhoom-e-Hadees: Riwayat Kiya Gaya Hai Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) 3 Martaba Farmate Hai Ki,
“Uski Naak Khak Aaluda Ho!!”
Hazrate Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Arz Karte Hai, “Kiski Ya Rasool’Allah!! ”
Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) Irshad Farmate Hai, “Uski Jisney Burhe Maan Baap Ya Unme Se Ek Ko Paya Aur Jannati Na Huwa!!!”

» Sabaq : Iss Se Muraad Ye Ki Woh Maan-Baap Ki Khidmat Na Kar Paya, Na Unke Liye Maal Kharch Kar Paya Aur Na Hi Unko Kabhi Khush Rakh Paya!!!
Aurat Ke Liye Uski Shadi Ke Baad Shohar Ke Haq Se Zyada Koi Cheez Barh Kar Nahi Hoti, Magar Mard Ke Liye Hamesha Waledain Ka Haq Chahe Woh Shadi Karle Ya Kunwara Rahe. Har Haal Me Waledain Ka Haq Waisa Hi Barh Kar Rehta Hai.
!! Allah Ta’ala Hame Apne Waliden Se Husn-Sulukhi, Adab-O-Ehtraam Se Khidmat Karne Ki Toufik Ata Farmaye..

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm