Islamic Blog

QURAN aur AHADITH par nigah dalne se ye pata chalta hai k ek aurat ke liye uss ke shohar ka haq ziyada hai, uss ke baap ke muqabale mein.

Yaqeenan ek aurat ke liye martabe ke lihaz se uss ke shohar ka darja hi bada hai.
Ab iss darje ko kisi se compare yani muazana na kiya jaye.
Har ek ka apna apna haq hai.
Lakin jahaan takk shukra guzari aur farmabardari ka sawal hai, iss ka ziyada haqdaar shohar hi hai.

Iss ke kayi dalail maujood hain, jinn mein se kuch, main yahaan pesh karta hoon,

1. Sunan Tirmizi ki hadith iss tarah hai,
عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، عَنْ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ: «لَوْ كُنْتُ آمِرًا أَحَدًا أَنْ يَسْجُدَ لِأَحَدٍ لَأَمَرْتُ المَرْأَةَ أَنْ تَسْجُدَ لِزَوْجِهَا»

Tarjuma:
Abu Huraira r.a. se riwayat hai,
Nabi s.a.w. ne farmaya,
Agar main (ALLAH ke alawa) kisi dusre ko sajad-e-ta’azeemi karne ka hukum deta to biwi ko hukum deta keh wo apne shohar ko sajadah kare.
(Sunan Tirmizi : 1159)

Iss hadith se maloom huwa keh
1. Shohar ka darja maa baap ke muqabale mein bada hai
2. Sajada-e-ta’azeemi bhi islam mein jayz nahee, kyunki agar iss ki ijazat hoti to biwi ko apne shohar ke liye hoti.
3. Sajad-e-ta’azeemi kisi bhi makhlooq ke liye jayaz nahee, chahe wo koi peer, faqeer, walee, shaheed, nabi ya farishta hi kyun ho.
3. Shohar, hukum ke eatebaar se aurat ke liye hakim hai.

Issi tarah ek khatoon ke liye, shadi se pehle uss ke maa baap uss ki jannat ke husool ka zariya bann sakte hain,
magar shadi ke baad, uss ka shohar hi uss ki jannat hai ya uss ki jahannam

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm