Hakeem Mohammad Taariq Mahmood Saheb Apni kitaab me Likhte Hain – ki- Ek baar Woh France me Wazu kar Rahe the
Ki- Ek Shaks Unhe Gaur se Dekhta Raha
Baad me Usne- Unke paas Aaker poocha-ki- Aap kaun Hain ? Aur- kaha se Aaye Hain ?
Unhone kaha > Mai Musalman Hoon – aur- Pakistan se Aaya Hoon
Usne poocha > ki waha kitne Paagal khane Hain ?
Woh kahte Hain – Bara Ajeeb Sawal tha – Per Maine kaha > 2 ya 4
Woh kahne Laga > Ye abhi Tum kya kar Rahe the ?
Maine kaha- Wazu kar Rahe the – ise Hum din me 5 baar karte Hain
To – Woh Jerman Hairan Rah gya
Usne Bataya – ki- Mai Yaha ka Mentle Surgen Hoon -Aur- Mai Resurch karta Hoon – ki- Log Paagal kyu Hote Hain – Meri Yeh Resurch Hai – ki- insaan ke Dimag se SIGNEL Uske poore Jism me Jate Hain – aur- Jism ka Har Part Dimag ke Signle se kaam karta Hai
Aur- is Dimag se Baareek Bareek RAGE (conductor) Ban ker Aa Rahi Hain- aur- Yeh Rage Hamari Gerdan ki Pusht (Guddi) se Poore Jism ko Jaati Hain – Ager- Gurdan ki Pusht ko Khushk Rakha Jaye – to- in Rago ke Ander Kayi Dafa Khuski Paida Ho Jati Hai
Aur- insaan ke Jism per iska Bura Asar Parta Hai – Kayi Dafa to insaan ka Dimaag Kaam karna Bhi Chorr deta Hai – isiliye – Docter ki Raay Hai ki – is Masah wali Jagha ko Din me 2 – 4 baar Zaroor Tarr Rakha Jaye – Jab Maine Wadu ke Dauran is Jagha ko bhi Paani se Tarr karte Dekha – to- Mai Samajh gya – ki – Aap Log Phir, Pagal kaise Ho Sakte Hain
Kyuki – Resuch Batati Hai – ki is > Masah se, Loo Lagna (Sun stroke) aur- Gardan Torr Bukhar ka Khaatma Hota Hai —
Dosto – Jab ek Docter ki Saari Umer – Ek Mustahab AmaL (Masah) ke Fayde Samajhne per Khatam Ho gayi – to- Sochiye – ki, Sunnat, Wajib, aur Farz ki Kya Haisiyat Hogi
- शब ए बारात की रात में क्या पढ़े | 2022 शब ए बरात का रोज़ा कब रखते है | - 7th March 2022
- Shab-E-Barat Ki Fazilat (शाबान बरक़त वाली रात) - 5th March 2022
- शब ए बारात की नमाज और सलामत तस्बीह (हिंदी) - 5th March 2022