Islamic Blog

Mazaar Shareef, Hazrat Maroof Karkhi, Rahmatullahe Ta’Ala Alaihe

Aap Tareeqat Wa Haqeeqat Ke Muqtada Wa Peshwa They, Lekin Aapke Waalidain Nasrani They Aur Jab Aapko Maktab Mein Daakhil Kiya Gaya Toh Ustad Ne Dars Dena Chaaha Ke Teen Khuda Hain Toh Aapne Kaha Ke Khuda Toh Ek Hai

Jab Aap Par Sakhti Ke Bawjood Bhi Aapne Teen Khuda Nahin Kaha Aur Waha’n Se Faraar Ho Kar Hazrat Ali Bin Musa Raza Ki Khidmat Mein Haazir Ho Kar Musharraf Ba Islam Hue

Faraar Ke Baad Waalidain Ko Khayal Aaya Ke Woh Kisi Bhi Mazhab Par Rehta Lekin Kaash Hamare Paas Rehta, Phir Arsa Baad Aap Ghar Laute Toh Aapke Ahwaal Se Mutassir Ho Kar Waalidain Bhi Musalman Ho Gaye

Aap Bahut Arsa Tak Hazrat Daud Tai Ki Khidmat Mein Reh Kar Faiz E Baatini Se Sairaab Hote Rahe
(Tazkiratul Auliya Safa No.158)

Hazrat SirriSaqti Se Riwayat Hai Ke Maine Khwab Mein Tahtul Arsh Istarha Dekha Ke Aap Par Gashi Taari Hai Aur Puchha Ja Raha Hai Ke Yeh Kaun Hai? Is Sawal Par Farishte Keh Rahe Hain Ke Tu Hamse Ziyaada Jaanta Hai- Phir Aawaz Aayi Ke Yeh Maroof Karkhi Hai Jisko Hamari Mahboobiyat Ne Bekhud Bana Diya Hai Aur Ab Hamare Deedaar Ke Bagair Isko Hosh Nahin Aasakta (Tazkiratul Auliya Safa No.160)

Hazrat Maroof Karkhi Rahmatullahe Ta’Ala Alaihe Ka Wisaal 2 Moharram 300 Hijri Ko Karkh.Bagdad Mein Hua.

Asalam-o-alaikum , Hi i am noor saba from Jharkhand ranchi i am very passionate about blogging and websites. i loves creating and writing blogs hope you will like my post khuda hafeez Dua me yaad rakhna.
mm