Islamic Blog

•KARAMAAT-A-GAUS-A-AAZAM•
******************************
Mazhar-A-Zaat Mustafayi:-
******************************
Ek Martaba Sayyaduna Gaus-A-Aazam Rehmatullah Ta’aala Alaihi Ke Sahab-Zaade Sayyad Shaikh Abdul Jabbar Rehmatullah Ta’aala Alai Ne Aapki Khidmat-A-Aqdas May Arz Kiya Ki, Nabi-A-Karim SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Jab Kaza-A-Haajat Ko Bait-te The To Fuzulaat Ko Zameen Nigal Jati Thi Aur Aap SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ka Pasina Mubarak Itr Ki Tarah Khushbudar Tha, Aur Aap SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Per Makkhi Na Bait-ti Thi! Yeh Chizen To Nabi-A-Karim SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ke Sath Khaas Thi, Lekin Hum Yeh Khususiyat Aap May Bhi Dekhte Hain, To Sayyaduna Gaus-A-Aazam Rehmatullah Ta’aala Alaihi Ne Farmaya Ki Abdul Qaadir Nabi-A-Karim SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ki Jaat May Fana Hoker Baka Bin-Nabi Ka Martaba Haasil Ker Chuka Hain! Fir Farmaya Ki Khuda Ki Kasam! Yeh Huzoor Nabi-A-Karim SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ka Hi Wajudh Hain, Abdul Qaadir Ka Nahi! Is Tarah Fir Sawal Kiya Ki Nabi-A-Karim SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Per Baadal Saaya Kiya Karte The To Aap Per Saaya Karne May Kaunsi Chiz Rukawat Hain! Farmaya, Maine Khud Tark Kiya Hua Hain, Taaki Log Nabi Gumaan Na Karne Lage!

(Tafrihul Khaatir, Pg-80)

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm