Islamic Blog

Qur’an :
17 Surah Bani Isră’eel, Aayat 1 :

سُبْحَانَ الَّذِي أَسْرَى بِعَبْدِهِ لَيْلاً مِّنَ الْمَسْجِدِ الْحَرَامِ إِلَى الْمَسْجِدِ الأَقْصَى الَّذِي بَارَكْنَا حَوْلَهُ لِنُرِيَهُ مِنْ آيَاتِنَا إِنَّهُ هُوَ السَّمِيعُ البَصِيرُ

Paak hai wo zaat jo raat ke thode se hisse me apne (mehboob) bande ko Masjid e Haraam se Masjid e Aqsa tak le gai, jis ke ird gird ko hamne ba-barkat bana diya hai taake hum us ko apni (azeem) nishaaniya dikhayen.
Beshak wo khoob sunne waala khoob dekhne waala hai.

*********************
Hadeeṡ e Nabawi :

Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne irshaad farmaaya
(1) Phir Jibr’eel mujhe buraaq par aasmaan ki taraf le chale. Jibr’eel ne aasmaan ka darwaaza kholne ke liya kaha to puchha gaya ‘Aap kaun hain?’ Unho ne farmaaya ‘Main Jibr’eel hu.’ Phir puchha gaya ‘Aap ke saath kaun hain?’ Farmaaya ‘Hazrat Mohammad Mustafa sallallāhu alaihi wa sallam.’ Phir puchha gaya ‘Un ko bulaaya gaya hai?’ Farmaaya ‘Haan, Bulaaya gaya hai.’ Phir aasmaan ka darwaaza humare liye khol diya gaya. Maine Ādam alaihis salaam ko dekha. Unho ne mujhe Marhaba kaha aur mere liye bhalaai ki dua farmai. Phir Jibr’eel mujhe dusre aaamaan ki taraf le chale.
(Muslim shareef)

(2) Me’araaj me mujhe jannat me le jaaya gaya. Waha ki imaarate motiyo ki hai aur us ki mitti mushk ki hai.
(Bukhari shareef)

(3) (Me’araaj me) ALLĀH ta’ala ne mere seene par apna dast e qudrat rakha, jis ki thandak maine apne dil me paai. Aur main wo sab kuchh jaan gaya jo kuchh mashriq aur maghrib ke darmiyaan hai.
(Mishkaat shareef, Safa -42)

***********************
2666 Shab e Me’araaj ka bayaan :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
12 Nabawi (621 A.D.) me Rajab ki Mubarak 27wi raat me ALLĀH ta’ala ne apne Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ko Me’araaj ata farmaai aur aap ko La makaan ki us bulandi par bulaaya jis ka koi tasawwur bhi nahi kar sakta aur aap ko Rab ta’ala ne apna deedaar karaaya aur aap se kalaam kiya aur Mo’mino ke liye Namaaz ka tohfa ata farmaaya.

***********************
›› Is safar ke 2 hisse hain :
(1) Al-Isra’ (Night Journey) – Masjid e Haraam se Masjid e Aqsa tak ka safar.
(2) Al-Me’araaj (Ascension) – Masjid e Aqsa se Aasmaano se hote hue La makaan tak ka safar.

***********************
ALLĀH ta’ala ke hukm se Hazrate Jibr’eel alaihis salaam 70000 Farishto ki jama’at ke saath Buraaq lekar Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ko bulaane ke liye aaye.

Us waqt Aap sallallāhu alaihi wa sallam Hazrate Umme Haani, Fakhitah binte Abu Taalib radiy-Allāhu ta’ala anha ke ghar par aaraam farma rahe the.
Hazrate Jibr’eel alaihis salaam ne apni peshaani ko aap ke talwo par mala. Aur jab aap bedaar hue to Rabb ta’ala ka farmaan bataaya.

Phir aap Hateem e ka’aba par aaye aur wuzu karke Masjid e Haraam me namaaz padhke aap buraaq par sawaar hokar Jibr’eel alaihis salaam ke saath Masjid e Aqsa tak safar kiya.
Raaste me aap 3 maqaamaat par thehre :
[1] Yaṡrib (Madeena Munawwara),
[2] Baitul Laham (Hazrate Eisa alaihis salaam ki paida’ish ki jagah),
[3] Toore Seena me Hazrate Moosa alaihis salaam ki qabr e anwar par.
In teeno Jagah Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne 2 rak’at (nafl) namaaz padhi.

Masjid e Aqsa par pahunche tab waha maujood tamaam Ambiya wa mursaleen aur Mala’ika ne aap ko salaam paish kiya aur aap ne jawaab diya.
Phir aap ki Imaamat me sab ne namaaz padhi.
Is ke baad Hazrate Ādam alaihis salaam ne khutba padha. Phir Hazrate Ibrāheem. Hazrate Moosā, Hazrate Daawūd, Hazrate Sulaimān aur Hazrate Eisā alaihimus salaam ne khutba padha aur Hamd o ṡana bayaan ki. Aakhir me Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne khutba padha.
Phir sab se mu’aneka wa musaafa karke rukhsat hue.

Phir Masjid e Aqsa se buraaq par sawaar hokar Hazrate Jibr’eel alaihis salaam ke saath aasmaano ka safar kiya.
Jab aasmaan par pahunche aur puchhne par Jibr’eel ne bataaya ki ‘Mere saath Hazrat Mohammad Mustafa sallallāhu alaihi wa sallam hain jin ko ALLĀH ta’ala ne bulaaya hai.’ to aasmaan ka darwaaza khul gaya aur aap un ke saath andar daakhil hue.
Yaha Hazrate Ādam alaihis salaam ne aap ko ’Marhaba’ kaha. Dusre aasmaan par Hazrate Yahyā alaihis salaam ne mubarakbaad pesh ki aur teesre aasmaan par Hazrat Yousuf alaihis salaam, Chothe par Hazrate Idrees alaihis salaam, 5we par Hazrate Hāroon alaihis salaam, chhathe par Hazrat Moosā alaihissalaam aur 7we par Hazrate Ibrāheem alaihis salaam ne mubarakbaad paish ki. Isi tarah har aasmaan par safar karte hue Ambiya se mulaaqat karte rahe.
Phir aap ko Jaannat ki sair karaai gai aur Dozakh me gunaahgaaro ke hone waale azaab dekhe.
Aur waha ke ajeeb o ghareeb manzar dekhte hue 7we aasmaan par Sidratul muntiha tak pahunche.
Tab Hazrate Jibr’eel alaihis salaam ne arz kiya ke ‘Yaha se koi farishta aage nahi jaa sakta. Is liye aap khushi se tanha aage tashreef le jaayen.’

Phir aap waha se naazil hue ek takht ‘Raf raf’ par sawaar hue.
Aur jab Naalain mubarak utaarna chaaha to ALLĀH ne mana farmaaya.

Waha se Hijaab e kibriya tak pahunche.
Phir 70000 noor ke parde se guzarte hue Qaaba kausain tak pahunche.
Waha pahunchkar Aap ne farmaaya ‘Atahhiyatu lillāhi wa salwaatu wa tayyabaatu.’ Phir ALLĀH ta’ala ne apna noor zaahir kiya.
Aap ne foran sajdah kiya aur apni ummat ki bakhshish ki dua ki.

Is tarah Rab ta’ala ke deedaar aur kalaam se sarfaraaz hue.
Aur ALLĀH ta’ala ne ummat ke liye 50 waqt ki namaaz ka tohfa ata farmaaya.
Phir Hazrate Moosā alaihis salaam ke mashware par baar baar jaakar 5 waqt kam karaate karaate aakhirkaar 5 waqt ki namaaz baaqi rahi.

Phir usi tarah waapas safar karte hue Bait-ul-Muqaddas waapas aaye aur waha tamaam Ambiya ne Aap ko mubarak-baad paish kiya.

Phir waha se rukhsat hokar Hazrate Umme Haani ke ghar tashreef laaye.

›› Aap jab waapas pahunche to jis jagah wuzu kiya tha waha se paani behte hue dekha aur makaan ki zanjeer ko hilte hue dekha aur aap ka bistar bhi garm tha.

**********************
Shab e Me’araaj ke Mushaahidaat :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne ek shakhs ko dekha jo kunve me dol daalta hai lekin jab us ko nikaalta hai to us dol ko khaali paata hai.
Hazrat Jibr’eel alaihis salaam ne bataaya ki ‘Yeh shakhs Riyakaar hai jo dikhaawe ke liye Ibaadat karta hai. Wo mehnat karta hai lekin Qayaamat ke din use is ka koi badla na milega.’

(2) Aap ne kuchh aise log dekhen jin ke saro ko pattharo se kuchla jaa raha hai.
Hazrat Jibr’eel alaihis salaam ne bataaya ki ‘Ye wo log hain jin ko Namaaz padhna bahot bada bojh lagta hai.’

(3) Aap ne kuchh aise log dekhen jin ko Aag ke jungle me qaid kar liya gaya hai, Aag un ko jalaakar khaak kar deti hai aur phir zinda hote hain, Aag unhe phir jalaati hai. Ye silsila barabar jaari hai.
Hazrat Jibr’eel alaihis salaam ne bataaya ki ‘Ye wo log hain jo Maa-Baap ki na-farmaani karte hain.’

Is ke baare me Irshaade Rabbul aalameen hai :
‘Aur Aap ke Rab ne hukm farma diya hai ke ALLĀH ki siwa kisi ki ibaadat mat karo aur waalidain ke saath husne sulook kiya karo, Agar tumhare saamne dono me se koi ek ya dono budhaape ko pahunch jaayen to unhe ‘uf’ bhi na kehna aur unhe jhidakna bhi nahi aur un dono ke saath badi adab se baat kiya karo.’

(4) Aap ne kuchh Aurte dekhi jin ke Munh siyah hai aur Aankhe neeli hain, Aur unhe Aag ka libaas pehnaaya gaya hai. Farishte un ko Aag ke gurz se maar rahe hain aur wo aurten takleef ki shiddat ki wajah se gadhe aur kutto ki tarah cheekh rahi hain.
‘Ye apne shohar ki na-farmaani karne waali aurten hain.’

Irshaade Rabbul aalameen hai :
‘Mard haakim hai aurto par.’
(Qura’n : 4 Surah an-Nisa)

(5) Aap ne kuchh aise log dekhen jo jaanwaro ki tarah char rahe hain aur Zaqqum (zehrile paudhe) aur Dozakh ke patthar khaa rahe hain.
Is ke baare me Hazrat Jibr’eel alaihis salaam ne bataaya ki ‘Ye wo log hain jo apne Maal ki zakaat ada nahi karte aur Faqeero Miskeeno par raham nahi karte.’

Is ke baare me Irshaade Rabbul aalameen hai :
‘Jo log sona-chaandi jama karte hain aur use ALLĀH ki raah me kharch nahi karte unhe dardnaak azaab ki khush-khabri suna do.’
(Qur’an : 9 Surah Tauba, Aayat 112)

(6) Aap ne aise log dekhen jin ke jabde khole jaa rahe hain, un ka gosht kaatkar khoon ke saath unhi ke munh me dhakela jaa raha hai.
Is ke baare me Hazrat Jibr’eel alaihis salaam ne bataaya ki ‘Ye wo log hain jo logo ke aib talaash karte hain aur Gheebat kiya karte hain.’

Isi tarah Aap ne aise log dekhen jin ko Murdaar jaanwar ke gosht ke tukde khilaaye jaa rahe hain.
Is ke baare me Hazrat Jibr’eel alaihis salaam ne bataaya ki ‘Ye wo log hain jo Chugli kiya karte hain aur ek bhai se dusre bhai ka gila shikwa karte hain.’

Is ke baare me Irshaade Rabbul aalameen hai :
‘Aye eimaan waalo zyadatar gumaan se bacha karo beshak ba’az gumaan gunaah hote hain aur (kisi ke aib ya raaz ki) justajoo na kiya karo aur na peeth peeche ek dusre ki buraai kiya karo, Kya tum me se koi shakhs ye pasand karega ke wo apne murda bhaai ka gosht khaaye, So tum us se nafrat karte ho, Aur ALLĀH se daro beshak ALLĀH tauba ko bahot qubool farmaane waala bahot raham farmaane waala hai.’

(7) Aap ne aise log dekhen jin ke Chehre kaale aur aankhe kaali thi.U ke neeche ka honth sar ke upar tha. Aag ke piyaalo me Dozakh ka zard Paani unhe pilaaya jaa raha tha. Jis ke sabab munh se Khoon aur Peep tapakta tha aur takleef ki eajah se Gadhe ki tarah cheekhte chillaate the.

Is ke baare me Hazrat Jibr’eel alaihis salaam ne bataaya ki ‘Ye wo log hain jo apni zindagi me Sharaab peete hain.’

Is ke baare me Irshaade Rabbul aalameen hai :
‘Aye eimaan waalo Beshak sharaab aur juwa aur nasab kiye hue but aur faal ke teer sab napaak shaitaani kaam hain, So un se parhez karo taake tum falaah paao.’
(Qur’an : 5 Surah al-Maa’idah, Aayat 90)

(8) Aap ne aise log dekhen jin ke paaas 2 handiya hain, Ek me paka hua gosht hai aur dusri me Kharaab kacha gosht hai. Magar wo pake hue gosht ko chhodkar sada hua kacha gosht khaa rahe hain.
Is ke baare me Hazrat Jibr’eel alaihis salaam ne bataaya ki ‘Ye wo log hain jo apni halaal aur paakiza biwi ke hote hue Ghair Aurat ke paas jaate hain aur wo Aurten hain jo halaal aur paak khaawind hote hue dusre mard ke paas jaati hain.’

Isi tarah Aap ne dekha ke kuchh aurto ko chhati aur paanv se latkaaya gaya hai.
Is ke baare me Hazrat Jibr’eel alaihis salaam ne bataaya ki ‘Ye wo aurten hin jo badkaari karne ke baad aulaad paida hone par un ko qatl kar deti hain.’

Is ke baare me Irshaade Rabbul aalameen hai :
‘Aur Badkari ke paas na jaao beshak woh behayaai aur bahot hi bura raasta hai.’

(9) Aap ne kuchh aise log dekhen jin ke pet sujhkar Kothe jaise ho gaye hain, Chehre pile ho gaye hain, Gardano me tok, Haatho aur paanvo me janzeeren aur bediya padi hai n.Jab wo chaahte hain ke uthkar khade ho jaayen to wo pet ke wazan ke sabab gir jaate hain aur upar aur neeche dono taraf se azaab me mubtila hai.
Hazrat Jibr’eel alaihis salaam ne bataaya ki ‘Ye Sood khor hain.’

Is ke baare me Irshaade Rabbul aalameen hai :
‘Wo sood khaate hain (qayaamat ke din) khade na ho sakenge magar jaise wo shakhs khada hota hai jis shaitaan [aaseb] ne chhookar bad-hawaas kar diya hai.’
(Qur’an : Surah al-Baqarah, Aayat 175)

(10) Aap ne aise log dekhen jin ke honth oonto ki tarah hai aur chingaariya khaa rahe hain aur aag ki wo chingaariya un ke pait ko jalaati hui neeche aa jaati hai aur ye silsila isi tarah jaari hai.
Is ke baare me Hazrat Jibr’eel alaihis salaam ne bataaya ki ‘Ye wo log hain jo Yateemo ka maal Na-haq khaaya karte hain.

Is ke baare me Irshaade Rabbul aalameen hai :
‘Beshak jo log yateemo ke maal na-haq tareeqe se khaate hain wo apne pait me nari aag bharte hain aur wo jald hi dehakti hui aag me jaa girenge.
(Qur’an : 4 Surah an-Nisa, Aayat 10)

(11) Aap ne kuchh aise log dekhen jin ko aag ki chhuri se farishte zibah kar rahe hain aur un ki gardan se kaala khoon beh raha hai. Woh log baar baar zinda ho jaate hain aur farishte har baar unhe foran zibah kar dete hain.
Hazrat Jibr’eel alaihis salaam ne bataaya ki ‘Ye wo log hain jinho ne logo ko Na-haq Qatl kiya hai.’

Is ke baare me Irshaade Rabbul aalameen hai :
‘Aur jo koi musalman ko jaanbujhkar qatl kare to us ka badla jahannam hai ke muddato muddat ibr me rahe aur ALLĀH ne us par ghazab kiya aur ALLĀH ne us par la’anat ki aur us ke liye bada azaab tayyaar rakha hai.’

(12) Aap ne kuchh aise log dekhen jin ki Soorte badalkar Suwwar jaisi ho gai hai aur sar se pair tak azaab me mubtila hain.
Hazrat Jibr’eel alaihis salaam ne bataaya ki ‘Ye wo log hain jo Jhooti Gawaahi diya karte hain.

Is ke baare me Irshaade Rabbul aalameen hai :
‘To tum doodr raho jhooto ki baato ki gandagi se aur jhooti baat se.’

(13) Aap ne kuchh aise log dekhen jinho ne apni peeth par bahot wazandaar bojh utha rakha hai aur us ki wajah se wo hil bhi nahi sakte magar is ke baa-wajood bhi wo kehte jaa rahe hai ke’ Haan, Aur bojh rakh do.’ Is liye un ki peeth par aur bojh laada jaa raha hai.

Is ke baare me Hazrat Jibr’eel alaihis salaam ne bataaya ki ‘Ye wo log hain jo Amasnat me khayaanat karte hain aur bahot se logo ke Huqooq in ki gardan par hain lekin in huqooq ko ada karne ke bajaay aur zyada haq ko apne upar lete rehte hain.

Is ke baare me Irshaade Rabbul aalameen hai :
‘Aye eimaan waalo ALLĀH aur Rasool se dhoka na karo aur apni amaanato me jaante hue khayaanat na karo.’

(14) Aap ne aise log dekhen jin ke Hontho aur Zabaan ko Aag ki qenchi se kaata jaa raha hai. Phir jab apni asli haalat par aate hain Farishten phir kaat dete hain. Un ko ek pal ki bhi mohlat nahi dete.
Is ke baare me Hazrat Jibr’eel alaihis salaam ne bataaya ki ‘Ye wo log hain jo Baadshaaho ke paas jaakar un ki jhooti Khushaamaten karte hain aur un ki jhooti baato par Haan me Haan milaate hain. Ye log Baadshaho ko Zulm aur Fisq o Fujoor (Buri baato) se nahi rokte aur na un ko Insaaf aur ehsaan ke ehkaam bataate hain.

Is ke baare me Irshaade Rabbul aalameen hai :
‘Aur Zaalimo ki taraf na jhuko ke tumhe aag chhuegi.’

(15) Aap ne aise giroh ko dekha jin ke seeno par aag ke tabaak rakhe hue hain. Un ke chehre siyah aur aankhe neeli hain, Katran ke kapde pehne hue hain aur farishte un ko Aag ke gurz se maar rahe hain.
Is ke baare me Hazrat Jibr’eel alaihis salaam ne bataaya ki ‘Ye wo log hain jo Behuda gaane gaaya karte hain.’

Is ke baare me Irshaade Rabbul aalameen hai :
‘Aur kuchh log khel ki baaten khareedte hain ALLĀH ki raah se behuda ke be-samjhe aur ise hansi khel bana len, In ke liye zillat ka azaab hai.’

(16) Aap ne kuchh aise log dekhen jinhe aam raasto par sooli par latkaaya jaa raha hai aur un sooliyo me khatarnaak qism ke kaante hain jo un ke jism aur libaas dono ko noch lete hain.
Hazrat Jibr’eel alaihis salaam ne bataaya ki ‘Ye wo log hain jo raasto me baithkar Raah me chalne waalo ko takleef diya karte the.’

Is ke baare me Irshaade Rabbul aalameen hai :
‘Aur har raaste par yun na baitho ke raahgeero ko daraawo aur ALLĀH ki raah se unhe roko.’

(17) Aap ne ek shakhs ko dekha jo noor se dhanka hua hai.
Hazrat Jibr’eel alaihis salaam ne bataaya ki ‘Ye wo khush-naseeb shakhs hai jis ki zabaan ALLĀH ke zikr se tar rehti thi aur jis ka dil masjid me laga rehta tha aur ye kabhi apne waalidain ko bura kahe jaane ka ya un ki be-izzati ka sabab na bana.’

(18) Aap ne chand buland o baala mahellaat dekhe jo Ghussa pee jaane waale aur dar guzar karne waale aur muaf karne waalo ke liye hain.

*********************
Me’araaj ke muta’alliq chnad khaas baaten :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) ALLĀH ta’ala ne apne Habeeb sallallahu alaihi wa sallam ko bulaakar jismaani me’araaj ata farmai hai.

Qur’an :
17 Surah Bani Isră’eel, Aayat 1 :
Paak hai wo zaat jo raat ke thode se hisse me apne (mehboob) bande ko Masjid e Haraam se Masjid e Aqsa tak le gai.

Is Aayat e mubaraka me ALLĀH ta’ala ne farmaaya hai ki
‘ALLĀH sub’hān wa ta’ala ne apne Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ko raat ke waqt Me’araaj ko bulaaya aur use apni azeem nishaaniya dikhaai.’

Is aayat me lafz ‘Bi-abdihee’ aata hai.
Jo ye ishaara karta hai ki ALLĀH ta’ala ne apne Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ko bulaakar jismaani me’araaj ata farmaai hai.
Kyun ki jism aur rooh milaakar hi insaan dunya me zinda hota hai aur ALLĀH ta’ala ki bandagi karta hai.

Is liye jo pyare Aaqa Mohammad Mustafa sallallāhu alaihi wa sallam ki jismaani me’raj se inkaar karte hain, un ke liye ye saboot hai ke ALLĀH ta’ala ne farmaaya hai ke us ne apne Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ko Jism aur Rooh ke saath La makaan par bulakar me’araaj ata farmai aur aap ne apne sar ki aankho se jaagte hue ALLĀH ta’ala ka deedaar kiya aur kalaam kiya.

Jo mazkoor ahadeese paak se bhi saabit hota hai.

(2) Masjid e Haraam se Masjid e Aqsa tak pahunchna ya Masjid e Aqsa se pehle aasmaan tak ya Pehle aasmaan se dusre aasmaan tak ya dusre aasmaan se teesre aasmaan tak aur isi tarah 7we aasmaan tak ya Sidartul muntaha tak pahunchna aur Jannat ki sair karna ya Waha tamaam ajeeb o ghareeb manzar dekhna ye Huzoore akram sallallāhu alaihi wasallam ki Me’araaj nahi hai.
Kyun ki Aasmaano ka safar Farishte bhi kiya karte hain. Aur pehle aasamaan par Hazrate Ādam alaihis salaam, dusre par Hazrate Yahyā alaihis salaam, teesre par Hazrat Yousuf alaihis salaam, chothe par Hazrate Idrees alaihis salaam, 5we par Hazrate Hāroon alaihis salaam, chhathe par Hazrate Moosā alaihis salaam aur 7we par Hazrate Ibrāheem alaihis salaam aur isi tarah har aasmaano par Ambiya maujood the.

Huzoore akram Mohammad Mustafa sallallāhu alaihi wa sallam Khair e khalqillāh aur Ashraf ul Ambiya aur Sayyed ul Ambiya hain. Is liye tamaam Ambiya se bhi zyada Fazeelat wale maqaam par pahunchna hi aap sallallāhu alaihi wa sallam ki Me’araj hai.
Ya’ni ALLĀH ta’ala ke bulaane par Shaan o shaukat ke saath Rab ke mehmaan bankar La makaan par Rabbul aalameen ke bilkul qareeb pahunchkar be-hijaab Rab ta’ala ka deedaar karna aur us se kalaam karna ye Huzoor sallallāhu alaihi wasallam ki Me’araaj hai.

(3) ALLĀH ta’ala ne apne Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ko bulaakar Me’araaj ata farmaai, Is me Rabbul aalameen ke bahot saare maqaasid hain.

Un me se 2 maqaasid khaas hain :

[1] ALLĀH ta’ala ne apne Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ko raat ke thode se hisse me Masjid e Haraam se La makaan par bulaakar Me’araaj ata farmaai aur is baat ko saabit kiya ki wo sab ka Rab hai, Maalik hai, Qaadir e mutlak hai, jo kaam jab bhi, jis tarah karna chaahe wo kar sakta hai.
[2] ALLĀH ta’ala ne apne Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ko La makaan ki bulandi par bulakar me’araj ata farmai aur be-hijaab apna deedar karaya aur kalaam kiya aur ye bataya ke mera Habeeb Khair e khalq aur Ashraf ul Ambiya hai aur us ka martaba itna buland hai ki waha tak us ke siwa koi aur pahunch nahi sakta aur maine use sab se zyada aur behtareen ata kiya hai ki tum sab us ke martabe ko jaano aur maano.

(4) Me’araaj ke baad Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ashaaba ko me’araj ki baaten bayaan farmaai. Kuffaar e Makka ne Hazrate Abu Bakr radiy-Allāhu anhu ko jaakar bataaya aur kaha ke ‘Kya aap is baat ki tasdeeq kar sakte hain jo aap ke dost ne kahi hai ke unho ne raat o raat Masjid e Haraam se Masjid e Aqsa ki sair ki?’ Aap ne farmaaya ‘Kya Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne waaqai ye bayaan farmaaya hai?’ Unho ne kaha ‘Ji haan.’ Aap ne farmaaya ‘Agar Aap sallallāhu alaihi wa sallam ne ye irshaad farmaaya hai to yaqeenan sach farmaaya hai. Aur main un ki is baat ki bila jhijhak tasdeeq karta hu.’
Phir jab Aap Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ki baargaah me aaye aur qareeb jaakar baithe to Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne phir se shuru se pura waaqya bayaan karna shuru kiya. Aur Hazrate Abu Bakr radiy-Allāhu anhu har baat par farmaate ‘Sadaqata Ya Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam.’
Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne khush hokar aap ko ‘Siddeeq e akbar’ ka laqab ata farmaaya ya’ni Tamaam Siddeeq me sab se bada.

Is tarah ashaaba aur tabi’een aur har zamaane me tamaam Aashiqaan e Rasool mo’mino ne Me’araaj un Nabi ko Tasleem kiya aur apne ishq e Rasool ka saboot diya.

Aur jo Munaafiq the unho ne aitraaz kiya aur aaj bhi bad-mazhab (munaafiq) is ka aitraaz karte hain.
5 waqt ki farz namaaz ALLĀH ta’ala ki ibaadat ke liye padhte hain, magar jis raat me ALLĀH ta’ala ne apne Habeeb Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ko apne ummatiyo ke liye namaaz ka tohfa diya use maanne se inkaar karte hain.
Ye Mo’min aur Munaafiq ke darmiyaan farq hai.

(5) ‘Me’araaj’ Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ka sab se bada Mo’azeeza hai. Me’araaj ki haqeeqat jaanne ke baad beshumaar log Huzoor Sarwar e kaunain Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam par Eimaan laakar musalman hue aur mo’mino ke eimaan aur mazboot hue.

(6) Shab e Me’araaj me 5 waqt ki namaaz musalmano par Farz ki gai.
Magar aisa nahi ki Me’araaj ke baad hi Islaam me namaaz shuru hui hai. Namaaz to pehle bhi Ashaaba ALLĀH ta’ala ki ibaadat maankar Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ki ita’at wa itteba karte hue padhte the.

Namaaz ko Mo’min ki Me’araaj kehte hain.
Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ki me’araaj ye hai ki ALLĀH ta’ala ne apne Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ko La makaan ki bulandi par bulakar be-hijaab apna deedaar karaaya aur kalaam kiya.
Aur jab mo’min namaaz me ye tasawwur kare ki main ALLĀH ta’ala ko dekh raha hu aur ye mumkin na ho to ye tasawwur kare ki Mera Rab mujhe dekh raha hai aur tamaam sharaa’it, faraa’iz, waajibaat aur suunnat ke saath sahi tareeqe se namaaz ada kare aur namaaz ke foyuz o barkaat haasil kare to ye Mo’min ki Me’araaj hai.

Mo’min ko chaahiye ki ALLĀH ta’ala ki raza ke liye Ishq e Rasool ke saath paabandi ke saath Namaaz ada kare.

****************
Shab e Me’araaj ki Ibaadat :

Aashiqane Mustafa se guzarish hai ki
Is link ko open karke Post padhen aur Share karen.

********************************
ALLĀH ta’ala is mubarak raat ke sadqe me us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me,
Aur Ahle bait, Auliya Allāh, Shohada aur Saaleheen ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e rasool ata farmae. Sab ko hidaayat ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko paabandi ke saath Namaaz padhne ki aur nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya aur aakhirat me bhalai aur kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm