Quran ki Surah Nisa mein irshad hi
: ﻓﻤﺎﺍﺳﺘﻤﺘﻌﺘﻢ ﺑﮧ ﻣﻨﮭﻦ ﻓﺎﺗﻮﮬﻦّ ﺍُﺟﻮﺭﮬﻦّ ﻓﺮﯾﻀۃ
Jin aurton ko nikah mein lana chaho inke bandhy huy mehar unhey dey do.
(Ayat 24)
Or rahi baat mard key janib se mehar ko kam mukarrar karna ki to mard chahy kitna bhi maaldaar kyu na ho usey apni mali hasiat se kam meher mukarrar karna jaiz hey,bashartey ki us meher ki mikdar 10 dirham se kam na ho, ki shariat me mehar ki aql mekdar das dirham hey or zyada ki koi qaid nahi.
AQA sallallahu alai hi wasallam ney fermaya:
ﻻ ﻣﮩﺮ ﺍﻗﻞّ ﻣﻦ ﻋﺸﺮۃ
Yani das dirham se kam mehar nahi
(Al Hidayah ,Baab Al Mahar)
Madani Aaqa Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya
“Nikah Ki Shart Yani Mehar Ada Karne Ka Sabse Jyada Khayal Rakho”.(Bukhari Sharif Jild 3, Safa 80)
Mere AQA sallallaho alaihi wasallam ne jab Hazarat Ali radiallaho talanho se jab kaha ay ALI mai tumara nikah meri BETI FATIMAH ZAHRA radiallaho talanha se krna chahta ho is par Hazarat Ali ne frmaya SARKAR mere pas to mahar ada krne k liye paise b nhi hi to mere AQA ne apne jung k saman ko Hazrat Ali ko diya aur farmaya is bech kar mahar ada karo
Is hadees pata chalta hi mahar ada karna nikah k waqt kitna zaruri hi agar mahar bad me bhi ada karna hota to AQA farmte ay ALI mahar bad me delena nikah krlo lkn AQA ne saman bech kar mahar ada karne ko kaha
Agar koi ladka meher ko halqa le aur nikah k waqt ye niyat kre k abhi to han bolnge bad me kon dega to aise adami ko zani kaha gaya hi ispar zinah ka gunha hoga
- शब ए बारात की रात में क्या पढ़े | 2022 शब ए बरात का रोज़ा कब रखते है | - 7th March 2022
- Shab-E-Barat Ki Fazilat (शाबान बरक़त वाली रात) - 5th March 2022
- शब ए बारात की नमाज और सलामत तस्बीह (हिंदी) - 5th March 2022