Islamic Blog

=================================================
WAQIYA MERAAJ AHADIS NABVI KE UJALE ME
=======================================
Inem se munajaat,raviyat,ILAHI,
—————————————–
Imamate AMBIYA ,SIDRATUL MUNTAHA tak urooj
=========================================
Aur apne RAB ki badi badi nishaniyo ka dekhna hai .waqiya meraaj wa asra,aapke un khasais se hai jiske zariye apke darjaat aliya wa manasibe rafiya ka izhaar hota hai aur jin pe ALLAH TA`ALA ne QURAAN KAREEM me khabardaar kiya hai aur sahih ahadis wa akhbaar ne un khasais ki sharah ki hai ,chunacha ALLAH TA`ALA ne farmaya hai :
TARJUMA
Paki hai use jo apne bande ko rato raat le gya masjide haram se masjide aksa tak jiske girda gird humne barkate rakkhi hai ke hum use apni azeem nishaniya dikhaye beshaq wo suntan dekhta hai .
Isi silsile me ALLAH TA`ALA ne ye bhi farmaya hai .
TARJUMA
Us pyaare chamakte tare MOHAMMAD SALLALLAHU TA`ALA ALAIHI WA SALLAM ki kasam jab ye meraaj se utre tumhare sahib na baihqe aur na be rah chale aur wo koi baat apni khuwaish se nahi karte .wo to nahi magar wahi jo unhe ki jati hai .unhe sikhaya sakht kuwato wale taqatwar ne fir us jalwa ne qasad farmaya aur wo aasmane bari ke sabab se buland kinare per tha .fir wo jalwa nazdeek hua .fir khoob utar aya to us jalwe aur us mahbob me do hath ka fasla raha .balki usse bhi kam .ab wahi farmayi apne bande ko jo wahi farmayi .dil ne jhoot na kaha jo dekha to kiya tum unse unke dekhe hue per jhagadte ho aur unhone to wo jalwa dobara dekha .sidratul muntaha ke pass.uske pass jannat al mawa hai.jab sidrah per cha raha tha jo cha raha tha .ankh na kisi taraf firi .na had se badhi beshaq apne RAB ki bahut badi nishaniya dekhi.
“Waqiya meraaj wa asra ki sihat me musalmano ka koi ikhtilaaf nahi hai kyuki ye nassi QURAANI sabit hai aur iski tafsilaat nez iske ajayebaat wa khasais ki sharah Ahadis sahiya mashoora me warid hai sabse paihle hum is silsile ki is hadith ko pesh karte hai jo is maozu ki dusri Ahdis se akmal wa atam hai aur ziyadaat ki janib bhi zarur ishare kar diye jayege ”
(Para 27 surah al najm-ayat 1 ta 18-Shifa shareef jild 1 267-268)

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)