===================================================
WAQIYA MERAAJ AHADIS NABVI KE UJALE ME
=======================================
Inem se munajaat,raviyat,ILAHI,
—————————————-
Imamate AMBIYA ,SIDRATUL MUNTAHA tak urooj
=========================================
NABI KAREEM SALLALLAHU TA`ALA ALAIHI WA SALLAM ne farmaya Fir burraq hume pachwe(5) asmaan tak le gya wahi waqiya yaha bhi pesh aya aur darwaza khulne per dekha ke waha HAZRAT HAROON ALLAIHS`SALAM jalwa afrooz hai unhone bhi mujhe marhaba kaha aur khair o barkat ki duaye di .
Fir burraq hume chate(6) asmaan tak le gya yaha bhi usi tarah sawaal wa jawab hue aur darwaza khulne per dekha ke waha HAZRAT MOSA ALLAIHS`SALAM raonak afrooz hai unhone bhi mujhe marhaba kaha aur khair o barkat ki duaye di .
Iske baad burraq hume satve(7) asmaan tak le gya aur misle sabiq muamla darpesh aya .darwaza khulne per dekha ke waha HAZRAT IBRAHEEM ALLAIHS`SALAM tashreef farma hai.aur BAITUL MAMOOR ke sath tek lagayi hue hai .
BAITUL MAMOOR me rozana 70 hazra farishte dakhil hote hai jis farishte ki usme dakhil hone ki ek martaba bari a jati hai dubara qayamat tak nahi ayegi ..
(SIFA SHAREEF jild awwal safa 270-271)
Bacha jo talwoon ka unke dhowan bana wo Jannat ka rang o rogan
Jinhone dulha ki payi utran wo phool gulzar e noor ke the.
SUB HAN ALLAH
- Shab E Barat Kya Hai - 5th March 2022
- Health Tips Hindi - 4th January 2021
- Ramadan Hadith - 4th January 2021