Islamic Blog

Ek Aadmi Tha Jis Ka Naam TARIQ Tha
Uoonto[Camel] Ki Tijarat Karta Tha
Ek Martaba Uoont Le Kar Qareeb Shahar Ki Taraf Qafle Ke Shat Nikla
Shahar Ke Bahir Hi Ek Aadmi Se Mulaqat Ho Gai
Jo Kisi Qabile Ke Sardar Ya Koi Bare Aadmi Nazar Aate The
Us Nek Aadmi Ne Tariq Se Pucha Ke Uoont Bechoge???
Tariq Ne Kaha Ke Q Nahi
Isi Kaam Ke Liye To Shahar Ja Raha Hu
Us Nek Aadmi Ne Uoonto Ko Khajooro Ki Bari Miqdar Me Soda Karliya or
Kaha Ke Uoont Mujhe Dedo Me Shahar Ja Kar Khajoor Tumhe Bhej Deta Hu
Aisa Hota To Nahi Lekin Tariq Ke Dil Me Pata Nahi Kiya Khayal Aaya Ke Wo Raazi Ho Gaya
Wo Aadmi Uoont Le Kar Chale Gaye
Is Ke Baad Tariq Ke Dil Me Khayal Aaya Ke
Me To Un He Janta Tak Nahi Ke
Wo Kon He Kaha Rehte He
Agr Unho Ne Qimat Nahi Bheji To Me Unhe Kaha Talash Karunga
Tariq Ne Apne Is Khayal Ko Apne Shathiyo Se Kiya
To Is Qafle Me Se Ek Aourat Ne Kaha Ke
Is Aadmi Ki Me Zamanat Leti Hu
Agr Unhone Qimat Na Bheji To Me Ada Karungi
Tariq Ne Us Aourat Se Pucha Ke Tum Is Aadmi Ko Jante Ho????
Aourat Ne Kaha Ke
Me Janti To Nahi Hu
Lekin Us Aadmi Ka Chehra 14vi Chand Se Ziyada Roshan Tha or
Aisa Rroshan Chehra Kisi Baddiyanat or Khayanat Karne Wale Ka Nahi Ho Sakta
Or
Wahi Huwa Thori Der Baad Ek Aadmi Aaya or
Tariq Ko Khajoore Dete Huwe Kaha Ke
Ye Aap Ke Uoonto Ki Qimat He
Ye KHARIDAR
MERE PIYARE
_____MUHAMMAD
(SALLALLAHU ALAYHI WAS SALLAM)
THE
Jin Ki Amanat Dari Ki Zamanat Wo Log Bhi Diya Karte The
Jin Ko Wo Nahi Jannte The
REF____(AL SHIFA peg 159)
Allah Hame Rasool Allah(Sallallahu Alayhi Wasallam) Ki Zindagi Ko Hamari Zindagi Me Lane Ki Taufeeq Ata Farmaye
_____(AAMEEN YA RABBI)_______

mm
Latest posts by Færhæn Ahmæd (see all)