Islamic Blog

Narrated Abu Qatada Ansari (Allah be pleased with him) reported that Allah’s Massenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) was asked about fasting on Monday, whereupon he (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: “It was the day on which I was born. on which I was commissioned with prophethood or revelation was sent to me.”

[Sahih Muslim :: Book 6 :: Hadith 2603, 2804]

Urdu Translation: Hazrat Abu Qatadah RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke Aan Hazrat Sallallahu Alaihi Wasallam se peer ke din Pabandi se Rozah rakhne se Mutalliq daryaft kiya gaya (ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Peer ke din Ehtemam se Roze kyun rakhte hain?) to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Ye wo din hai Jis mein meri Wiladat hui aur is mein Meri Bei’sat hui (Nabi hua) aur Mujh par Wahi nazil ki gayi.”

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 3 :: Hadith 2747]

✿ RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Peer (Monday) ke din Ehtemam se Roze rakhne ki aik Ahem waja ye bayan farmayi ke us din Meri Wiladate Ba Sa’adat hui aur usi din mujhe Sharfe Nubuwwat se Mashraf kiya gaya is liye Batore Shukrana main is din ka Rozah rakhta hun, Neez dusri Riwayat mein Peer o Jumerat ke roze ki aik aur Ahem waja RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne ye bayan farmayi ke Peer o Jumerat ko bandon ke Naame Aa’mal Allah Tala ke huzoor pesh kiye jate hain aur main chahta hun ke Jab mera Name Aa’mal Baargahe Khudawandi mein pesh ho to main roze se hun.

✿ Lehaza Ta’assub se balatar ho kar Insaf ki nazar se Dekhen ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne apni Wiladate Ba’saadat par khushi manane aur shukr baja lane ke liye saal mein sirf aik din yani 12/Rabi-ul-Awwal ka intekhab nahi farmaya Balke saal mein 52 Martaba peer (Monday) ke dinon ka intekhab farmaya aur khushi manane aur Shukr baja lane ka tariqa bhi logon ko Sawabdeed par (Naik salah dekar) nahi choda balke Rozah rakh kar Wiladate Ba Sa’adat par Shukr bajalaye, Lehaza ◗► “Wiladate ba Sa’adat par khushi ka izhar aur shukr baja lane ka durust tariqa ye hai ke Pure Saal peer ke din roze rakhne ka Ehtemam kiya jaye.”

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm