Islamic Blog

HIQAYAT1f340🍀
**********
Hazrat Imaam Aazam Radi-Allahu-Ta’aala-Anhu Ke Zamane May Ek Miyan Biwi May Kisi Baat Per Ranjish Paida Hui To Miyan Ne Gusse May Kehdiya Ki Main Tumse Kalaam Na Karunga Jabtak Tu Mujhse Pehle Pahel Na Kare! Biwi Ne Bhi Kasam Kha Li Aur Kaha, Khuda Ki Kasam! Main Bhi Tumse Kabhi Kalaam Na Karungi Jabtak Tu Mujhse Pehle Kalaam Na Kare! Iske Baad Dono May Ek Dusre Ko Bulana Chod Diya! Badi Mushkil May Padgaye! Aakhir Miyan Hazrat Imaam Aazam Ke Paas Haazir Hua Aur Saara Wakiya Sunaya! Imaam Sahab Ne Wakiya Sunker Farmaya Ki Jao Ek Dusre Ko Razi Khushi Bulao! Tum Mayse Koi Haanis (Kasam Todne Wala) Na Hoga! Isliye Ki Jab Tumne Yeh Kaha Tha Ki Main Tumse Kalaam Na Karunga Jabtak Tu Mujhse Kalaam Na Kare To Uske Baad Agar Aurat Khamosh Rehti To Beshak Tum Haanis Hote! Magar Jab Usne Yeh Kaha Ki Khuda Ki Kasam Main Bhi Tumse Kalaam Na Karungi! Jabtak Tum Mujhse Kalaam Na Kare To Usne Tumahri Kasam Ke Baad Tumse Kalaam Kerliya! Lihaja Tum Use Bula Sakte Ho!

(Jawaharul Bayaan Pg-95)
*********************
1f338🌸SABAK1f338🌸
********
Imaam Aazam Radi-Allahu-Ta’aala-Anhu Ka Dimaag Wahan Pahuchta Tha Jahan Bade-Bade Muhaddison Ka Dimaag Bhi Nahi Pahuchta!

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm