Islamic Blog

*==========================*
*WILADAT-A-HAZRAT IMAM HUSSAIN RADI ALLAHU TA’ALA ANHU*
====================================================
*SAYYADUSH SHOHDA HAZRAT IMAM HUSSAIN RADI ALLAHU TA`ALA ANHU* ki wilaadate mubaraka 5 shabaan 4 hijri ko *MADEENA TAYIBA* me hue.
*SARKAR-A-AQDAS SALLALLAHU TA`ALA ALAIHI WA SALLAM* ne aapke *KAAN MUBARAK* me *AZAAN* di..*MUH mubaarka* me *LUAB-A-DAHEN* daala aur aapke liye dua farmayi fir satve din aapka naam *HUSSAIN* rakkha aur AQIQA kiya.
*HAZRAT IMAM HUSSAIN RADI ALLAHU TA`ALA ANHU* ki kunniyat *ABU ABDULLAH* aur laqab *“SIBT-A-RASOOL”*wa *“RAIHAANTUR RASOOL”* hai.
*HADITH SHAREEF* me hai ,
*RASOOL ALLAH SALLALLAHU TA`ALA ALAIHI WA SALLAM* ne farmaya ke *HAZRAT HAROON ALAIHIS`SALAAM* ne apne beto ka naam *SHABBAR* wa *SHABBIR* rakkha aur maine apne beto ka naam unhi ke naam per *HASAN* aur *HUSSAIN* rakkha.
*(SAWAAIQE MUHARRIQ SAFA 118 –KHUTBAAT-A-MOHARRAM SAFA 370)*
Isi liye *HASNAIN KAREEMAIN* ko *SHABBAR* wa *SHABBIR* ke naam se bhi yaad kiya jata hai.
Suryani zubaan me *SHABBAR* wa *SHABBIR* aur Arbi zubaan me *HASAN* wa *HUSSAIN* dono ke Mayene ek hai .
Aur *HADITH SHAREEF* me hai ke : *HASAN* aur *HUSSAIN* jannati naamo me se do naam hai.
*ARAB* ke zamana-a-jahaliyat me ye dono naam nahi the.
*(SAWAAIQE MUHARRIQ SAFA 118 –KHUTBAAT-A-MOHARRAM SAFA 370)*

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm