HAZRAT IMAM MUSLIM RADI ALLAHU TA`ALA ANHU ke dono sahabzaado ko jab haaris ne shaheed kar liya to socha ke unke sir ibn-a-ziyaad ke pass le chalu aur inaam pau.chunache wo un muqaddas saro ko lekar ibn-a-ziyaad ke pass aya. ibn-a-ziyaad ne in nanhe aur noraani saro ko dekhkar pucha ki ye kiske ser hai?haaris ne btaya ke MUSLIM ke baccho ke. ibn-a-ziyaad bajaye khush hone ke kaihne laga A maloon maine to yazeed ko ye likha hai ke bacche mere pass qaid hai. agar usne zinda magwaye to mai kaha se launga?tu inhe mere pass zinda kyu nahi laya?haaris ne kaha ke zinda lata to shaher wale mujhse chin lete aur mai inaam se mahroom rah jata.ibn-a-ziyaad ne kaha tune mujhe khabar ki hoti.mai khufiya taor per maga leta.haaris chup ho gya.ibn-a-ziyaad ne maqatil nami ek shaqs se muhibbe AHLE BAIT tha ke hukm diya ki is khabees ko nahre furaat per le jakar qatl kardo jaha in dono baccho ke dhad dale gye hai wahi inke sir bhi dal do.maqatil ye hukm sunkar bahut khush hua.haaris ka hath pakad kar bahar akar apne raazdaaro se kaihne laga ki agar ibn-a-ziyaad mujhe tamam mulk de deta tab bhi mujhe itni khushi nahi hoti jitni is hukm se hue.fir maqatil ne haaris ke hath bandhe sir nagga kiya sare bazaar lekar chala. baccho ke sir logo ko dikhata jata tha log unhe dekhkar rote aur haaris per lanat karte.halaki maqatil ne paihle un dono muqaddas siro ko naher me daal diya.qudrate ILAHI se dono ke tan pani ke uppar akar saro se mil gye.aur fir pani me dub gye.fir maqatil ne zalim haaris ko bhi wahi qatl kar diya aur uski lash ko furaat me fhenka to furat ne use qubool nahi kiya aur bahar fhenk diya.fir usne use zameen me dabaya to zameen ne bhi qubool na kiya aur bahar fhenk diya akhirkaar lakdiya jama karke use jala diya gya.
(TAZKIRA-A-SAFA50 sacchi hiqayat hissa doyem bab 6 page no 365-366)
SABAK
======
DEEN se muh modkar is bewafa dunya ko apnane ka fal yahi milta hai.aisa zalim dhobi ke kutte ki tarah na ghar ka na ghat ka
- शब ए बारात की रात में क्या पढ़े | 2022 शब ए बरात का रोज़ा कब रखते है | - 7th March 2022
- Shab-E-Barat Ki Fazilat (शाबान बरक़त वाली रात) - 5th March 2022
- शब ए बारात की नमाज और सलामत तस्बीह (हिंदी) - 5th March 2022