HAZRAT IMAM MUSLIM RADI ALLAHU TA`ALA ANHU ko kufa me jis rozz shaheed kiya gya, usi rozz HAZRAT IMAM HUSSAIN RADI ALLAHU TA`ALA ANHU MAKKA MUAZZAMA se kufa ko rawana ho pade. aapke AHLE BAIT, mawali aur khuddam kul 82 log aapke sath the ye mukhtasar sa AHLE BAIT ka kafila MAKKA MUAZZAMA se ruksat hua to MAKKA MUAKRRAMA ka baccha baccha AHLE BAIT ke is kafile ko ruksat hota dekh kar aab deeda aur gamgeen ho raha tha. HAZRAT IMAM HUSSAIN RADI ALLAHU TA`ALA ANHU ka ye kafila jab mukame shakuq me pahucha to kufa se ane wale ek admi ne HAZRAT IMAM RADI ALLAHU TA`ALA ANHU ko bataya ki kufiyo ne bewafayi ki aur HAZRAT MUSLIM RADI ALLAHU TA`ALA ANHU shaheed kar diye gye. HAZRAT IMAM HUSSAIN RADI ALLAHU TA`ALA ANHU ne ye khabar sunkar INNA LILLAHI WA INNA ILAHI RAJIOON padhi. fir kheme me aye. HAZRAT MUSLIM ki sahabzaadi samne ayi to unke sir per shafqqat ke sath hath fera aur use taslli wa shafaqqat amez bate farmayi. SAHABZADI ne khilafe adat baat dekhkar arz ki aaj to aap mujhper yateemana nawazish farma rahe hai .shayad mere walid nahi rahe. ye sunkar HAZRAT IMAM be ikhtiyaar ro pade aur farmaya: “BETI” gum na kar mai tera baap hu meri bahen teri ma hai mere ladke wa ladkiya tere bhai bahen hai . sahabzadi rone lagi. farazande MUSLIM daode aur walid ki shahadat ki khabar sunkar wo bhi roye aur fir intihayi dileri se farmane lage. chacha jaan”hum kufiyo se baap ke khoon ka badla lenge ya khud bhi unhi ki tarah shaheed ho jayege”
(TAZKIRA SAFA 56 SACCHI HIQAYAT HISSA DOYEM BAB 6 PAGE NO 366-367)
RADI ALLAHU TA’ALA ANHU wa RADI ALLAHU TA’ALA ANHA
To be continued…………………………………..
- शब ए बारात की रात में क्या पढ़े | 2022 शब ए बरात का रोज़ा कब रखते है | - 7th March 2022
- Shab-E-Barat Ki Fazilat (शाबान बरक़त वाली रात) - 5th March 2022
- शब ए बारात की नमाज और सलामत तस्बीह (हिंदी) - 5th March 2022