HAZRAT MUSLIM ki sahabzaadi samne ayi to unke sir per shafqqat ke sath hath fera aur use taslli wa shafaqqat amez bate farmayi. SAHABZADI ne khilafe adat baat dekhkar arz ki aaj to aap mujhper yateemana nawazish farma rahe hai . shayad mere walid nahi rahe. ye sunkar HAZRAT IMAM be ikhtiyaar ro pade aur farmaya: “BETI” gum na kar mai tera baap hu meri bahen teri ma hai mere ladke wa ladkiya tere bhai bahen hai . sahabzadi rone lagi. farazande MUSLIM daode aur walid ki shahadat ki khabar sunkar wo bhi roye aur fir intihayi dileri se farmane lage.chacha jaan”hum kufiyo se baap ke khoon ka badla lenge ya khud bhi unhi ki tarah shaheed ho jayege. HAZRAT IMAM HUSSAIN RADI ALLAHU TA`ALA ANHU ne fir apne humrahiyo me ek taqrir farmayi aur farmaya- ke kufiyo ne bad ahdi ki aur (MUSLIM RADI ALLAHU TA`ALA ANHU ) ko shaheed kar diya. tum me se jiska jee chahe wapas chala jaye. chunache baaz log jo idhar-udhar se akar mil gye the, wo wapas chale gye. jo shaheed hone wale the wo rah gye. age badhe to ek makaam salba per akar utre. HAZRAT apni bahen HAZRAT ZAINAB RADI ALLAHU TA`ALA ANHA ke pair per sir rakh kar so gye. thodi dair baad rote hue uthe aur farmaya: bahen”MAINE NANA JAAN KO KHWAAB ME DEKHA HAI AAP RO- RO KAR FARMA RAHE HAI KE A HUSSAIN TUM JALD AKAR HUMSE MILOGE”. ek sawar kaih raha hai log chal rahe hai aur unki kazaye unki taraf chal rahi hai.HAZRAT ALI AKBAR RADI ALLAHU TA`ALA ANHU ne farmaya abba jaan” kiya hum haq per nahi hai? IMAM RADI ALLAHU TA`ALA ANHU ne farmaya beshaq hum haq per hai aur haq humare sath hai.HAZRAT ALI AKBAR ne arz ki to fir maot ka kiya khaof ek ki ek na ek din to marna hi hai .”ABBA JAAN HUM SHAHADAT KE BAAG KO FALA FULA DEKH RAHE HAI “dunya se behtar ghar aur naimate humare samne hai.
(TAZKIRA SAFA 57 SACCHI HIQAYAT HISSA DOYEM BAB 6 PAGE NO 367)
SABAK
======
HAZRAT IMAM HUSSAIN RADI ALLAHU TA`ALA ANHU aur apke AHLE BAIT sabhi haq ki khatir kamar kase hue the aur unhe maot ka koi der na tha.yazeed ke fisk wa fujoor ke khilaf awaaz buland karne me unhe kisi dunyabi
to be continued………………………………………………………..
- Shab E Barat Kya Hai - 5th March 2022
- Health Tips Hindi - 4th January 2021
- Ramadan Hadith - 4th January 2021