Islamic Blog

HAZRAT IMAM RADI ALLAHU TA`ALA ANHU ko kufa ki rawangi ki khabar pakar ibn-a-ziyaad ne hurr rubahi ki qiyadat me ek lashkar aage bhej diya tha.hurr ibn-a-rubaahi marde saeed ne HAZRAT IMAM HUSSAIN RADI ALLAHU TA`ALA ANHU ko mashwara diya ke wo masturaat ka bahna farmakar raat ko alhada utre aur raat hi ko kahi tashreef le jaye.chunache HAZRAT IMAM RADI ALLAHU TA`ALA ANHU ne yahi kiya.raat ko jab yazeedi lashkar so gya to aapne waha se kooch kiya.adheri raat me maloom na hua ke kidhar ja rahe hai. subah ko ek maidan haolanaak me pahuche.yaha utre to is maidaan me jis jagah mekh gadte zameen se khoon nikalta.jis darakht se lakdiya todte khoon tapakta.ye haal dekhkar IMAM ne pucha ke tum me se kisi ko is dasht (jangal) ka naam maloom hai? ek ne kaha ke ise maraya kaihte hai. farmaya ke shayad koi dusra naam bhi ho.logo ne kaha ise karbala bhi kaihte hai. ye sunakar aapne farmaya”zameen karbala yahi hai” hamare khoon ki bahne ki jagah yahi hai ab hum yaha se kahi nahi ja sakte.ALI AKBAR RADI ALLAHU TA`ALA ANHU ne arz kiya abba jaan aap kiya farma rahe hai? farmaya beta tere dadajaan ALI MURTAZA SIFFIN jate hue yaha thahre aur bade bhai HASAN RADI ALLAHU TA`ALA ANHU ke Pair per sir rakh kar soye. mai serhane khada tha ke rote hue uthe. bade bhai ne rone ki sabab pucha to farmaya maine abhi abhi khuwaab me is jagah HUSSAIN ko deriya-a-khoon me dubta hua pao maarta hua,aur faryaad karta hua dekha hai magar koi uski faryaad nahi sunta.fir mujhse farmaya beta jab tujhe is jagah waqiya azeem derpesh hoga to tu us waqt kiya karega? maine arz kiya ke sabr karunga. is per farmaya beta aisa hi karna ke sabr karne walo ka sawaab beshumaar hai.
ye farmakar aapne asbab utarwaya aur nahre furaat ke pass khema nasb farmaya. us din moharram ki 2 tareekh thi aur hijri ka 69 wa saal
(tazkira safa 69)

SABAK
======
Dashte karbala azl hi se HAZRAT IMAM HUSSAIN RADI ALLAHU TA`ALA ANHU ke liye imtehaangaah muqarar ho chuka tha.HAZRAT ko khud bhi apne is imtehaan dene ka ilm tha.aur ye aap hi ki shaan aur aap hi ka hissa hai ke is zabardast imtehaan ke liye aap her tarah se tayyar the. aapne paye isteqbaal aur azm wa sibaat me zarra barabar bhi lagzish na ane di . yaani aap apne pakke iraade se nahi dagmagaye.
RADI ALLAHU TA’ALA ANHUMA

To be continued………………………….

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)