HAZRAT IMAM HUSSAIN RADI ALLAHU TA`ALA ANHU jab dashte karbala me utre to aapne AHLE BAIT me ye waaz farmaya ki “meri musibat wa judayi per sabr karna.jab mai shaheed kiya jau to hargiz munh na pitna aur baal na nochna aur gireba chaak na karna.A meri bahen “ZAINAB” tum FATIMA ki beti ho.jaise unhone HUZOOR SALLALLAHU TA`ALA ALLAIHI WA SALLAM ki judayi per sabr kiya tha usi tarah tum bhi meri musibat per sabr karna.
(ANAARTUL-BASAAIR SAFA 267 WAHWAALAA NAASIKHUT TAWAARIKH MANQOOL AZ FAISLA SHARYIYA SAFA 49 SACCHI HIQAYAT HISSA DOYEM BAB 6 PAGE NO 370)
HAZRAT IMAM HUSSAIN RADI ALLAHU TA`ALA ANHU ne makame karbala me qayam farmaya to ibn-a-ziyaad ne ek khat HAZRAT IMAM HUSSAIN RADI ALLAHU TA`ALA ANHU ki taraf is mazmoon ka bheja ke ya to yazeed ki bait kijiye ya ladne ko tayyar ho jayiye.HAZRAT IMAM HUSSAIN RADI ALLAHU TA`ALA ANHU ne us khat ko padhkar fhek diya aur qasid se farmaya mere pass iska koi jawaab nahi hai.ibn-a-ziyaad ye sunkar gusse me aa gya.ibn-a-saad ko bulakar kaha ke tum ek muddat se mulke raye ke haakim banne ki tamanna rakhte ho. lo aaj maoka hai.tum HUSSAIN ke muqable ke liye jao aur HUSSAIN ko majboor karo ke wo yazeed ki bait kare warna UNKA sir kaat kar le ao.us dunyabi kutte ibn-saad ne mulke raye ki hukoomat ki lalach me akar HAZRAT IMAM HUSSAIN RADI ALLAHU TA`ALA ANHU ke mukable ke liye tayyar ho gya.karbala me pahuchkar usne HAZRAT IMAM HUSSAIN RADI ALLAHU TA`ALA ANHU se deryaft kiya ke aap yaha kis waste se aye hai? aaapne farmaya kufiyo ne khutoot likhkar mujhe bulaya. mai khud yaha nahi aya magar ab jabki tum sabki bewafayi mujhe maloom ho gyi hai to mujhe ab bhi tum log wapas jane do aur mujhse mukable me na aoo.ibn-a-saad ne HAZRAT IMAM HUSSAIN RADI ALLAHU TA`ALA ANHU ki guftagu ki ittela ibn-a-ziyaad ko di to ibn-a-ziyaad ne gusse se hukm bheja ke tumhe HUSSAIN se ladne ko bheja hai sulah karne nahi bheja.hum siwa bait ke HUSSAIN se kuch qubool nahi karege fir ibn-a-ziyaad ne shimar shait wagairah zaalimo ko sardaar banakar hazaaro ki tadat me aur faoj bhi bhej di aur hukm de diya ke HUSSAIN ka pani bhi band kar diya jaye aur unhe her tarah se tang kiya jaye.
(taqihush-shahadatain safa 56 sacchi hiqayat bab 6 hissa doyem page no 371)
SABAK
======
sabka is baat per ittefaq hai ke HAZRAT IMAM HUSSAIN RADI ALLAHU TA`ALA ANHU ne khud bhi sabr farmaya aur apne mutalliqeen ko bhi sabr wa shukr se rahne ki talqeen farmayi.
HAZRAT IMAM HUSSAIN RADI ALLAHU TA`ALA ANHU deen ke liye maidaan me tashreef laye aur ibn-a-saad wagairah yazeedi log dunyabi hukoomat ke lalach me HAZRAT IMAM HUSSAIN RADI ALLAHU TA`ALA ANHU ke mukable me aye.ye bhi maloom hua ke HAZRAT IMAM HUSSAIN RADI ALLAHU TA`ALA ANHU akhir tak un per ittame hujjat rahe ke tum agar ab bhi mukable me na aoo to mai wapas chala jau magar wo log khud hi is fitne ke paida karne wale the.
RADI ALLAHU TA’ALA ANHUMA
- Shab E Barat Kya Hai - 5th March 2022
- Health Tips Hindi - 4th January 2021
- Ramadan Hadith - 4th January 2021