HAZRAT IMAM HUSSAIN RADI ALLAHU TA`ALA ANHU ne maidan-a-karbala me nahre furaat ke kinare apne kheme gade the magar moharram ki 7 tareekh ko ibn-a-saad ki faoj ne jo 82 hazaar ki tadaat me thi, nahre furaat ko gher liya aur HAZRAT IMAM ko pani lene se rok diya.is faoj me aksar wahi log the jo ALI aur HUSSAIN ki mohabbat ka dawa karte the.jinhone HAZRAT IMAM ko khat likhkar khud hi bulaya tha aur ab khud hi unka pani bhi band kar dya. ibn-a-saad ne HAZRAT IMAM ko kaha ke wo apne kheme naher ke kinare se ukhaad le.HAZRAT ABBAS ne is maoke per farmaya ke aisa nahi ho sakta. magar HAZRAT IMAM ne farmaya ke bhai ABBAS jane do. tum bahare karam (karam ka samunder) ho wo ye katra-a-nachiz hai. inse jhagda fizool hai.apna khema yaha nahi to naher se door hi sahi.chunache HAZRAT IMAM ne apna khema waha se ukhadne ke hukm diya.
(TANQIHUSH-SHAHADATAIN SAFA 66)
Maidaane karbala me zaalimo ne HAZRAT IMAM per 7 wi moharram se pani band kar diya. 8 wi tareekh ko jab AHLE-BAIT ke chote bade pyaas se nidhaal hue aur alatash-alatash(pyaas-pyaas) ki awaaze aane lagi to HAZRAT IMAM ne waha ek kua khudwaya jisse kuch logo ne pani piya lekin wah kua aap hi aap gayab ho gya.
(Tanqihush-shahadatain safa 57)
SABAK
======
SAQI-A-KAOSAR(KAOSAR ke pilane wale)SALLALLAHUTA`ALA ALLAIHI WA SALLAM ke nawase aur unke AHLE-BAIT per pani band kar dena yazidiyo ki intehayi shaqawat(sangdili) aur HAZRAT IMAM ka bakmaale sabr wa shukr waha se khema ukhaad lena aapki intehayi buland haosla wa bahaduri ka saboot tha. ye bhi maloom hua ke ye sab shaqi jinhone HAZRAT per pani band kiya tha aur jo paihle apni jhuti mohabbat ka elaan karte the darasal ye sab k sab apni adaawat wa shakawat ko chupaye hue the.maloom hua ke khud ALLAH TA`ALA ko yahi manzoor tha ke HUSSAINI lashkar sabr wa shukr ka muzaahira karke AABE KAOSAR hi ke pani se apni pyaas bujhaye.
RADI ALLAHU TA’ALA ANHUMA
To be continued………………………………………………..
- मिसवाक के फायदे | मिस्वाक | Miswak Benefits - 9th April 2021
- BANGALORE RAMADAN TIMING 2021 - 8th April 2021
- HYDERABAD RAMADAN TIMING 2021 - 8th April 2021