Maidaan-A-karbala me jab HAZRAT IMAM HUSSAIN RADI ALLAHU TA`ALA ANHU ke jumla ahbab wa aqrab jame shahadat nosh farma chuke to aapke sath sirf aapke 3 sahabzaado ke koi na bacha. ye 3 sahabzaade HAZRAT ALI AKBAR,HAZRAT ALI ASGAR AUR IMAM ZAINUL ABDEEN RADI ALLAHU TA`ALA ANHUM the. HAZRAT IMAM ZAINUL ABDEEN to bimaar the aur HAZRAT ALI ASGAR RADI ALLAHU TA`ALA ANHU abhi sheer khwaar dodh pite hi the. HAZRAT ALI AKBAR KI umar sirf 18 baras ki thi HAZRAT IMAM HUSSAIN RADI ALLAHU TA`ALA ANHU ne jab dekha ki ab siwaye mere 3 baccho ke aur koi baki na raha to aapne khud maidaan me jane ka faisla kar liya aur sawari magwayi hathiyaar badan per arsta farmaye aur ruksat ke waste kheme ke ander tashreef laye aur sabko sabr ki talkeen ki. HAZRAT ALI AKBAR RADI ALLAHU TA`ALA ANHU ye manzar dekh kar IMAM ke kadmo per gire aur arz karne lage abba jaan. KHUDA wo din na dikhaye jabki aap mere samne sharbat-a-shahadat nosh farmaye. aap mere hote hue maidaan me kiyu tashreef le jate hai?mujhe ijazat farmaye mai jata hu. HAZRAT IMAM ne farmaya A ALI AKBAR . kis dil se tujhe jane ki ijazat du? kin ankho se tumko zakhmo se choor choor dekhu. HAZRAT ALI AKBAR ne IMAM ko kasme dena aur rona shuru kiya. akhir HAZRAT IMAM ne ijazat de di aur apne hath se unke badan per hathiyaar lagaye zirah paihnayi. AMAMA ser per rakkha.patka kamar per bandha aur ghode per bitha diya AHLE BAIT raqaab se akar lipat gye. IMAM ne sabko hata kar farmaya jane do ki safar-a-AKHIRAT hai
(tanqihus shahadatain safa 167 sacchi hiqayat hissa doyem bab 6 page no 384-385)
SABAK
======
HAZRAT IMAM HUSSAIN RADI ALLAHU TA`ALA ANHU bade hi sabir wa shukr aur istiqlaal ke malik the ke 18 saal ke apne lakht-a-jigar ko ALLAH ki raah me qurbaan hone ke liye khud apne hatho tayyar farmate hai aur shikwa shiqayat koi lafz tak nahi late.
RADI ALLAHU TA’ALA ANHUMA
To be continued…………………………………………………….
- मिसवाक के फायदे | मिस्वाक | Miswak Benefits - 9th April 2021
- BANGALORE RAMADAN TIMING 2021 - 8th April 2021
- HYDERABAD RAMADAN TIMING 2021 - 8th April 2021