HAZRAT IMAM MUSLIM RADI ALLAHU TA`ALA ANHU jab kufa pahuche to bewafa kufiyo ne aapke hath per bait karke fir aapse muh mood liya aur aapka sath choor diya. IMAM MUSLIM RADI ALLAHU TA`ALA ANHU tanha raih gye. raat ka waqt tha. ibne ziyaad ne apki giraftari ke liye shaher ke charo taraf kadi nigrani kar rakkhi thi. HAZRAT IMAM MUSLIM RADI ALLAHU TA`ALA ANHU bhuke pyaase ek MASJID me baithe rahe. raat ko bahar nikle. raste ka ilm na tha. dil me kaihte jate the afso HUSSAIN se chute, aur dushmano me ghire. na koi humdum hai ke raze dil sune, na koi qasid hai ke HUSSAIN ko humari khabar kare.
Is tarah hairaan aur pareshan ek mohalle me fir rahe the. waha ek budhiya taoaa nami ko dekhkar usse pani talab farmaya to usne pani diya. ye maloom karke ki ye GARIBUL-WATAN MUSLIM hai, apne ghar me jagah di . us aurat ka beta ibne ziyaad ka admi tha. usne ibne ziyaad ko khabar de di ke HAZRAT MUSLIM humare ghar me hai. ibne ziyaad ne apni faoj bhej di jisne budhiya ke makaan ko gher liya aur chaha ki HAZRAT MUSLIM ko giraftaar karle. HAZRAT IMAM MUSLIM RADI ALLAHU TA`ALA ANHU ko iska pata chala to aap tanha talwaar lekar ibne-ziyaad ke lashkar per tut pade. jaise sher bakriyo ke jhud per hamla awaar hota hai. aapke hamle se unke dil dahel gye aur bahut admi zakhmi hue aur bahut sare mare bhi gye. in zalimo ne fir der wa diwaar per chadkar patthar barsane shuru kar diye jise HAZRAT MUSLIM ka badan mubarak khasta ho gya aur ek patthar apki peshani per laga. khoon baihne laga us waqt aapne MAKKA ki taraf rukh karke kaha: “A HUSSAIN” kuch aapko apne bhai khasta jigar ki bhi khabar hai ke us per kiya guzri aur kufiyo ne uske saath kya kiya? Afsos ki mere haal ki aapko khabar kaon pahuchaye aur kaon aapko yaha ane se roke.
(sacchi hiqayat hissa doyem bab 6 page no 360-361)
To be continued………………………………….
- मिसवाक के फायदे | मिस्वाक | Miswak Benefits - 9th April 2021
- BANGALORE RAMADAN TIMING 2021 - 8th April 2021
- HYDERABAD RAMADAN TIMING 2021 - 8th April 2021