Islamic Blog

HAZRAT MUSLIM ka badan mubarak khasta ho gya aur ek patthar apki peshani per laga. khoon baihne laga us waqt aapne MAKKA ki taraf rukh karke kaha: “A HUSSAIN” kuch aapko apne bhai ki khasta jigar ki bhi khabar hai ke us per kiya guzri aur kufiyo ne uske saath kya kiya? Afsos ki mere haal ki aapko khabar kaon pahuchaye aur kaon aapko yaha ane se roke.
Isi daoran ek patthar aur akar apke hotho per laga jisse khoon jari ho gya. dadhi mubarak rangeen ho gyi. to aap majboor hokar ek diwaar se takiya lagakar baith gye ke ek namard ne ghar me aakar talwaar aapke sir per mari jisse uppar ka hoth mubarak kat gya. aapne isi haal me us buzdil ko jahennum pahucha diya aur fir diwaar se takiya lagakar baith gye. Farmane lage”ILAHI” mai is waqt pyaasa hu. aapki faryaad sunkar wahi budhiya ghar se pani layi aur apko diya. aapne muh se lagaya magar usme khoon mil gya isliye aapne fhek diya. budhiya ne dobara diya wo bhi khoon aluda ho gya. tisri baar usme aapke dant nikalkar gir pade. aapne pyala hath me rakh kar farmaya: KHUDA ko manzoor hi nahi hai. piche se kisi ne neza mara jo pith ke paar ho gya. zalimo ne daodkar aapko pakad liya aur aapko ibne-a-ziyaad ke pass le gye. ibne-a-ziyaad bad nihaad(bahut bura) ne hukm diya ke inhe chat per le jakar qatl kar do. chunache ek zalim ibne bukair apka hath pakad apko chat per le gya. HAZRAT MUSLIM DUROOD padhte jate the aur kaihte jate the.”ALLAH HUMM HAKUM BAINANAA WA BAIN KAOMINA BIL HAQ” jab chat per pahuche to niche dekha ke ahle kufa jama hokar dekh rahe hai. aapne farmaya: “A kufiyo” jab mera sir tan se juda kiya jaye to badan dafan karna aur kapde utaar kar jo kafila MAKKA jata ho HUSSAIN ke pass bhej dena aur mere baccho per rahem karna. fir MAKKE ki taraf rukh karke kaha:
BHAI YAHA KI AAPKO KAISE KHABAR KARE.
HARGIZ IDHAR KO AAP NA AZME SAFAR KARE.
itne me zalim qatil ne aapka sare mubarak tane athar se juda kar diya-INNA LILLAHI WA INNA ILAIHI RAJIOON
(sacchi hiqayat hissa doyem bab 6 page no 360-361)
RADI ALLAHU TA’ALA ANHUMA
To be continued…………………………………..

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)