Islamic Blog

English mein jis tarah January, February ke mahine hote hain wese hi Arabi aur urdu mein ek mahine ka naam Moharram hai. Ye arabi urdu calendar ka sabse pehla mahina hai, jese English mein january hota hai. Matlab 1 Muharram se islamic naya saal shuru hota hai.
aur ‘Yaum-e-Ashura’ ek arabic word hai, jiska matlab hai ‘Daswa Din’.Muharram mahine ki 10 taarikh ko Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ke laadle nawase Imam Hussain (radi allahu anhu) aur unke rishtedaaro, saathiyo ko shaheed kar diya gaya tha. Ye din humko Hazrat Hussain (radi allahu anhu) ki shahadat ki yaad dilaata hai. Is din hum kuch neki ka kaam karke iska isaal-e-sawab Hazrat Hussain (radi allahu anhu) aur unke saathiyo ko pahuchana chahiye.
Lekin kuch log ye samajhte hain ke Moharram (‘Yaum-e-Ashura’) ki ahmiyat aur is din ka roza isliye rakha jaata hai kyonke is din Hazrat Hussain (radi allahu anhu) aur unke saathiyo ko pyasa shaheed kar diya gaya tha. Lekin aesa nahi hai, Islam mein Moharram mahina ki 10 taarikh (yaum-e-ashura) ki ahmiyat aur iska roza to Hazrat Hussain (radi allahu anhu) ki shahadat se bhi pahle se rakha jata hai. Balke Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ke duniya mein aane se bhi dusre nabiyo ke time se hi Allah ne is mahine ki 10 taarikh aur iske roze ko ahmiyat de rakhi hai.
(Hazrat Musa (alyhissalam) ko firon jese zalim badshah se is din azaadi mili. Musa (alyhissalam) ke time bhi ashura ki ahmiyat thi aur aapke ummati bhi is din ka roza rakhte the.
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne bhi is din roza rakhne ka hukm apne sahaba ko diya tha, (jab to hazrat Hussain radi allahu anhu ki shahadat bhi nahi hui thi)
Yaani islam mein is din ki ahmiyat aur roza rakhne ka silsila to Hazrat Hussain (radi allahu anhu) ki shahadat se bhi pehle se chala aa raha hai, aur Hazrat Hussain (radi allahu anhu) ne bhi khud is din ka roza rakha tha . Ye baat alag he ke Allah ne Hazrat Hussain (radiallahu anhu) ki shahadat bhi is din kubul karke iski ahmiyat mein ek sitara aur badha diya.

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)