Mahfum-e-Hadees: 🌿
Abu Huraira (Razi’Allahu Anhu) se Riwayat Hai Ke,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya –
“Momino Me Iman Ke Aitbar Se Sabse Kamil Shakhs Wo Hai Jiske Akhlaaq Sabse Acche Hai.”
📗(Abu Dawood #4682)🔮
💦 Wajahat💦
*Lekin Yaad Rahe: Akhlaaq Ki Khubsurti Momino Par Faraiz Ko Saaket (Exceptional) Nahi Karti ,.
Yaani Ke Bus Namaz, Roza Chorr Do Aur Acche Aklaakh Ikhtiyar Kar Lo,.. Yaad Rakhiye Aisa Nahi Hai Bilkul Bhi ,..
*Namaz, Roza, Hajj, Zakat Jaise Faraiz Ki Pabandi Tou Karni Hi Hai Har Haal Me ,..
Lekin in Saari Baato Ke Saath Akhlaaq Ki Khubsurti Bhi Bohot Jaruri Hai ,..
👆🏻👉🏻Iske Talluk se ek Riwayat Aati Hai Ke –
🌹 Mahfum-e-Hadees🌹
*Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ke Paas 2 Aurto Ka Zikr Kiya Gaya
Usme Se Rasool’Allah Ne Ek Ko Jahannumi Kaha Aur Dusri Ko Jannati ,..
*Pehli Aurat Faraiz Ke Sath Nawafil Ki Pabandi Karne Ke Bawajud Bhi Mehaz Burey Akhlaak Ke Sabab Jahhnum Me Jaati Hai ,..
*Aur Dusri Aurat Sirf Faraiz Ada Kar Ke Jannat Ki Haqdaar Hoti Hai Kyunki Uske Akhlaaq Khubsurat They ,..
📗 (Islami Akhlaq-o-Aadab, Page#234, Hadees#12) 🔮
🌿🌿*Tou Iss Aahadeese Mubarak Se Pata Chala Ke Huquq-Allah Ko Ada Karne Wala Bhi
Agar Huquq-Al-Ibad Me Kotahi Karta Hai Tou Wo Jahannumi Hai ,..
🌿🌿*Lihaja Hume Chahiye Ke Apne Aklhlaaq Ko Sunnat-e-Rasool Ke Mutabik Umda Karey,..
🙌🏻 In Sha Allah-Ul-Azeez !!!
🌿 Allah Rabbul Izzat Hume Kahne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Taufiq Dey!
🌿 Humey Ba-adab Aur Ba-Akhlaaq Banaye!!
🌿 Aur Sunnat-e-Rasool Ke Mutabik Hum’me aur Humari Naslo Me Husn-e-Akhlaaq Paida Karne Ki Taufiq Dey!!
🌿 Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
🌿Khatma Humara Imaan Par Ho …
💦Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen
- Allah subhanahu se Magfirat aur Aafyiat manga karo kyuki - 14th June 2017
- Sajda e Tilawat ki dua - 14th June 2017
- Bewaon aur miskeenon ke kaam aaney wala - 14th June 2017