Islamic Blog

Yom-e-ashura matlab 10wa din, Hum muharram mahine ke 10 taarikh ko yaum-e-ashura kahte hain, is din ke roze ki ahmiyat bahut zyada hai. Is din ke roze ko lekar bahut saare logo ko bahut kam jaankari hai,
Yaum e ashura (10 Muharram) ke din ki ahmiyat hazrat Muhammad (ﷺ) ke duniya mein tashreef laane se bhi pahle se hai, is din islam ki history mein kai bade bade kaam Allah ne kiye, jese
(1) Allah ne zameen or aasman is din banae aur kayamat bhi is din aaegi.
(2) Hazrat Adam (alyhissalam) aur maa Hawwa ko is din paida farmaya.
(3) Hazrat Yunus (alyhissalam) ko 40 din ke baad machhli ke pait se bahar nikala.
(4) Hazrat Musa (alyhissalam) ko firon jese zalim badshah se is din azaadi mili.
(5) Hazrat Isa (alyhissalam) ko is din asman per zinda utha lia gaya.
Aur bhi kai bade kaam is din Allah ne kiye.
Is din ka roza kai nabiyo aur unki ummato ne bhi rakha, Musa (alyhissalam) ke time bhi ashura ki ahmiyat thi aur aapke ummati bhi is din ka roza rakhte the.
Jab hazrat Muhammad (ﷺ) tashreef laae to aapne bhi is din ka roza rakhne ka hukm farmaya. In sab baato se ye samajh aaya ke yaum e ashura ke roza ka talluk imam hussain ki shahadat se nahi hai, kyonke aapki shahadat se bhi pahle hazrat Muhammad (ﷺ) ne is roze ko rakhne ka hukm farma diya tha, aur khud imam Hussain radi allahu anhu ne bhi ye roze rakhe. Kyonke is din ke roze ki ahmiat to pahle se hi thi, ye alag baat hai ke aapki shahadat bhi usi din Allah ne kubul ki.
Hazrat Muhammad (ﷺ) ne ashura ke din ke roze ki ahmiyat mein farmaya (jiska matlab ye hai ke) “mujhe Allah se ye ummid hai ke is din ke roze ki barkat se Allah 1 saal ke gunaho ko maaf kar deta hai.”
Note: Yaha par ye baat dhyan rakhne ki hai ke jaha kahi bhi kisi roza rakhne, namaz padhne ya accha kaam karne se gunaho ki maafi ki baat aati hai waha matlab sagira (chhote) gunaho se hota hai kyonke kabira (bade) gunah bager tauba (maafi maange bina) Allah maaf nahi karta. Aur kabira gunaho mein bhi aese gunah jis mein kisi dusre insan ka haq ada nahi kiya gaya ho ya uska dil dukhaya gaya ho, to jab tak aesa insan humko maaf nahi kar deta tab tak tauba karne se bhi Allah gunaho ko maaf nahi karta. Jab wo insan maaf karega, uske baad hi Allah bhi maaf karega.
Hazrat Muhammad (ﷺ) ne farmaya (jiska matlab yeh hai ke) ramzan ke roze ke baad sabse ahmiyat wala roza ‘Yaum-e-Ashura’ ke din ka roza hai.
Hazrat Muhammad (ﷺ) ne farmaya (jiska matlab yeh hai ke) jab tum log Ashura (Moharram ki 10 taarikh) ka roza rakho to, ya to 9-10 taarikh ka rakha karo ya 10-11 ka rakha karo. Kyonke yahudi bhi pehle se hi 10 muharram ka roza rakhte hain aur mein chahta hoon ke islam ke maanne walo ki apni alag pehchan ho, kisi dusure se uski baat milti hui na ho. Isliye agar yahudi 1 din ka roza (10 taarikh ka) roza rakhte hain to tum log 2 roza rakha karo.
bahut se kam ilm log 2 roze rakhne ki kai alag-alag wajah batate hain, lekin sahi baat ye hai ke 2 roze isliye rakhe jaate hain taake hamari dusro (yahooodi) jesi copy na ho.
Allah hum sabko is din ka roza rakhne ki taufik ata kare, aameen.

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)