Islamic Blog

Salad me Muli Bahut pasand ki jati hai to iske parathe aur sabji ke khadardano ki bhi kami nahi hai. Agar Aap Muli ko dekhkar Mooh banate hain to iske faide janna apke liye behad zaruri hain.

1. Cancer Risk Kam Karne Me

Muli me Phytochemicals and anthocyanins mikdar paya jata hai jo cancer ke Risk ko kam karte hain. Vahi isme Maujud Vitamin C antioxidant ki tarha kaam karta hai.

2. Blood Pressure Ko Niyamith Karne Me

Muli me anti-Hypeetensive khasiyath paya jata hai jo Achcha rakchap ko niyantrit karne me faidadeta hai.Muli me maujud matra me potassium bhi hota hai jo zism me sodium and potassium ke miqdath ko balance karte huve blood pressure bigadne nahi deta.

3. Diabetes Ke Marijon Ke Liye

Muli me Bahut Mikdath me fiber maujud hota hai. Vahi isme maujud mikdat insulin ko rokneka kam karta hai. Muli se sugar level badta nahi hai.jiski vajah se Diabetes marizon ke liye bhi achchi hoti hai.

4. Sardi Aur Khansi Ke Ilaz Me

Agar apko hamesha hi sardi aur khansi ki shikayath bani rahti hai to apko apni diat me muli shamil karne ki zarurath hai. Muli me anti-congestive payajata hai jo Kaf ko khatam karne me faida deta hai.

5. Kidni Ko Sehathmand Rakhne Me

Muli me diurectic paya jata hai jo Kidni ke sehath ke liye bahut Achcha hota hai aur zism se zahreli An’asar ko nikalne me bhi kargar hota hai. Iss vajah se ise natural cleansers kaha jata hai.

 

Source : http://sunnidawateislamiblogger.blogspot.in/

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm