Islamic Blog

HIQAYAT:-
**********
Ek Makaam Per Huzoor SALLALLAHU-TA’A­ALA-ALAIHI-WASA­LLAM Ne Wazu Farmaya To Hazrat Bilal Radi-Allahu-Ta’­aala-Anhu Ne Wazu Se Bacha Hua Pani Le Liya! Digar (Aur Dusre) Sahaba-A-Kiraam­ Ne Jab Dekha Ki Hazrat Bilal Radi-Allahu-Ta’­aala-Anhu Ke Paas Huzoor SALLALLAHU-TA’A­ALA-ALAIHI-WASA­LLAM Ke Wazu Ka Bacha Hua Pani Hain, To Hazrat Bilal Radi-Allahu-Ta’­aala-Anhu Ki Taraf Daude Aur Us Muqaddas Pani Ko Haasil Karne Ki Koshish Karne Lage! Jis Kisi Ko Us Pani Se Thoda Pani Miljata Wo Use Apne Mooh Per Mal Leta Aur Jis Kisi Ko Na Mil Saka To Usne Kisi Dusre Ke Hath Se Tari Leker Mooh Per Hath Fher Leta!

(Mishkaat Sharif Pg-65)

****************************
SABAK:-
********
Sahaba-A-Kiraam­ Radi-Allahu-Ta’­aala-Anhu Ko Har Us Chiz Se Jise Huzoor SALLALLAHU-TA’A­ALA-ALAIHI-WASA­LLAM Se Koi Nisbat Haasil Hogayi, Mohabbat Wa Pyaar Tha Aur Use Wajib-A-Taazim Samajhte The! Usse Barkat Haasil Karte The! Malum Hua Ki Tabarruk Koi Nayi Baat Aur Biddat Nahi Balki Sahaba-A-Kiraam­ Ka Bhi Mamul Tha! Yeh Bhi Malum Hua Ki Apne Wazu Ke Bache Hue Pani Ko Bataur Tabarruk Leker Apne Chehron Per Mal Lene Ka Hukm Huzoor SALLALLAHU-TA’A­ALA-ALAIHI-WASA­LLAM Ne Nahi Diya Magar Sahaba-A-Kiraam­ Fir Bhi Aisa Karte The! Unki Mohabbat Ki Wajahse Tha Jo Ain-Imaan Hain! Isi Tarah Huzoor SALLALLAHU-TA’A­ALA-ALAIHI-WASA­LLAM Ne Juloos, Milaadh, Mehfil-A-Milaad­h Azaan May Naam-A-Pak Sunker Anghute Choomne Ka Hukm Agar Na Bhi Diya Ho To Bhi Jo Shaks Mohabbat Ki Wajahse Aisa Karega Insha-Allah-Wa-­Ta’aala Sahaba-A-Kiraam­ Ke Sadqe May Sawab Payega!
*******************************

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm