Hazrat Muhammad (Sallallaho Alayhi Wasllam) Ne sahaba (radi allahu
anhu) se Farmaya Ke –
Kya Tum Jaante Ho Ke garib kon He????
Tuo Sahaba (radi allahu anhu) Ne
Arz Kiya Ke Ham to garib Usi Ko Samjhte He Jiske Paas Maal aur paisa
nahi hai,
Tuo Aapne Farmaya Ke –
Meri Ummat Ka garib Wo Hoga Jo Qayamat Ke Din (marne ke baad jab wapas
zinda hoga tab) Bahut Si Namaze, Roze or Zakaat (donation) Wagherah
Lekar Aayega,
Magar uska haal ye Hoga Ke usne Kisi Ko Gaali Di
Hogi,
Kisi Par jhoota Ilzaam Lagaya Hoga,
Kisi Ka Maal hadap liya Hoga,
bina kisi wajah ke kisi ka Khoon Bahaya
Hoga,
Kisi Ko Maraa Peeta Hoga,
Lihaza un insano ka aaj Badla Diyaa
Jayega aur Har wo insan Apna Badlaa Lene Aa Jayega…
Uski Neikiyaan Uthaa-Uthaa Kar Di Jaane Lagengi,Yahan Tak Ke
Us insan Ki Naikiyaan Sab Khatam Ho jayengi,
Magar Daawedaar
Baaqi Reh Jaayenge, aakhir mein Un Daawedaaro Ke Gunaah Us Par Laad
Diyaa Jayega or Phir Use Jahannam Main phenk Diyaa Jayega..
– Muslim Shareef, Mishkaat Shareef
So Dosto Apni Nekiyo Ko Barbaad Mat Karo
Allah humko saare bure kaamo se bachaye.
Aameen
- Shab E Barat Kya Hai - 5th March 2022
- Health Tips Hindi - 4th January 2021
- Ramadan Hadith - 4th January 2021