HIQAYAT:
**********
Huzoor SALLALLAHU-TA’A ALA-ALAIHI-WASA LLAM Ki Khidmat May Ek Naabina Sahabi Haazir Hue Aur Arz Kiya, Ya Rasoolallah! Dua Farma Dijiye Ki Main Accha Hojaoun! Huzoor SALLALLAHU-TA’A ALA-ALAIHI-WASA LLAM Ne Farmaya, Agar Chaho To Yeh Baat Mu-akkhar Kerdo Aur Agar Chaho To Abhi Dua Karoon! Usne Arz Kiya, Ya Rasoolallah! Abhi Dua Farma Dijiye! Huzoor Ne Farmaya, Accha To Yun Karo Wazu Karo Aur 2 Rakat Namaz Padho Aur Yeh Dua Maango-
ILAHI! Main Tujhse Panah Maangta Hoon Aur Teri Taraf Tawajjah Karta Hoon Tere Nabi Mohammad SALLALLAHU-TA’A ALA-ALAIHI-WASA LLAM Ke Wasile Se Jo Meharbani Ke Nabi Hain! Ya ALLAH! Main Huzoor Ke Wasile Se Apne Rab Ki Taraf Apni Is Haajat Ki Tawajjah Karta Hoon Taaki Meri Haajat Rawa Ho!
ILAHI! Ineh Mera Shafi Ker Inki Shafa-at Mere Haq May Kabul Ker!
Chunanache, Us Naabina Sahabi Ne Aisa Hi Kiya! Raawi Kehta Hain Ki Wo Yun Acche Hogaye Jaise Kabhi Naabina The Hi Nahi!
(Ibne Maaza, Pg-100)
(Hashiya Ibne Maaza Safa Mazkur)
*************** *************** **
SABAK:
********
Sahaba-A-Kiraam Musibat Ke Waqt Musibat Se Bachne Keliye Huzoor SALLALLAHU-TA’A ALA-ALAIHI-WASA LLAM Ki Khidmat May Haazir Hua Karte The!
Yeh Bhi Malum Hua Ki Huzoor SALLALLAHU-TA’A ALA-ALAIHI-WASA LLAM Ka Wasila Aur Huzoor Se Madad Talab Karna, Ya Rasoolallah Ka Naara Lagana Aur Huzoor Ko Harf-A-Nida (Yani Ya Rasoolallah Karke Pukarna) Se Pukaarna Shirk Hargiz Nahi Hain! Balki Huzoor SALLALLAHU-TA’A ALA-ALAIHI-WASA LLAM Ki Apni Taalim Hain! Huzoor Ne Khud Sikhaya Hain Ki Dua Maango To Mere Wasile Se Aur Mujhe Pukaar Kar Maanga Karo!
Yeh Bhi Malum Hua Ki Huzoor SALLALLAHU-TA’A ALA-ALAIHI-WASA LLAM Ke Saamne Rehker Ya Alag Hoker Ya Dur Rehker Har Haalat May Ya Rasoolallah! Keh Sakte Hain!
Malum Hua Ki Huzoor Ka Wasila Aur Aapse Madad Aur Naara-A-Risalat May Sab Baatain Badi Acchi Aur Dua Kabul Hone Ka Zariya Hain Aur Bayis-A-Barkaat Hain!
- Allah subhanahu se Magfirat aur Aafyiat manga karo kyuki - 14th June 2017
- Sajda e Tilawat ki dua - 14th June 2017
- Bewaon aur miskeenon ke kaam aaney wala - 14th June 2017