*Nabi ﷺ Ke Noor Ke Bager Kitab Nahi Samaj Sakte.*
Is Liye Allah Ne Jitne Bhi Nabi Bheje Hain, Wo Is Liye, Taake Wo Paigambar Amali Namuna Ban Kar Logo Ko Dikhaye, Ke Dekho! Jo Hukam Tumhe Diya Ja Raha Hai, Us Hukam Par Amal Karne Ka Tareeqa Ye Hai. Wo Paigambar Ek Mukammal Namuna Pesh Karte Hain Isi Waja Se Quran Sharif Ke Saath Aap ﷺ Ko Bheja Gaya, Aur Uski Kitni Achhi Misal Pesh Ki, (Surah Maaidah/15) Yani Ham Ne Tumhare Paas Do Chize Bheji Hai, Ek Kitab Bheji Hai, Yani Quran Sharif, Aur Doosre Is Kitab Ko Padhne Aur Samaje Ke Liye Ek Noor Bheja Hai,
Farz Karo Tumhare Paas Kitab To Maujood Hai, Lekin Andhera Hai, Kya Is Andhere Me Kitab Padh Kar Usse Faaida Utha Sakoge?
Koi Faaida Nahi Utha Sakte, Kitab Apni Jaga Mukammal Hai, Is Kitab Me Saari Baate Bhi Hai, Aur Tum Kitab Se Faida Bhi Uthana Chahte Ho, Lekin Chunke Tumhare Paas Noor Aur Roshni Nahi Hai, Is Liye Tum Us Kitab Ko Khol Kar Faaida Nahi Utha Sakte, Aur Ye Is Kitab Ka Nuqs Aur Kami Nahi Hai, Balke Ye Tumhara Nuqs Aur Tumhari Kami Hai, Kyun Ke Tumhare Paas Noor Aur Roshni Nahi Hai, Is Liye Ham Ne Is Kitab Ke Saath Ek Noor Bhi Bheja, Aur Wo Noor Hai Aap ﷺ Ki Zaat he or Aap ﷺ Talimat, Tashreehat, Tafseer, Aur Sunnat se momin ka dil munwar hota he Jab Ye Noor Kitabullah Ke Saat Hashil Hoga, To Kitab Khuli Nazar Aayegi, Aur Uske Ahkaam Aap Ke Samne Wazeh Honge, Aur Aap Ke Liye Raasta Khulega.
- शब ए बारात की रात में क्या पढ़े | 2022 शब ए बरात का रोज़ा कब रखते है | - 7th March 2022
- Shab-E-Barat Ki Fazilat (शाबान बरक़त वाली रात) - 5th March 2022
- शब ए बारात की नमाज और सलामत तस्बीह (हिंदी) - 5th March 2022