Islamic Blog

HIQAYAT1f337🌷
**********
1f496💖Hazrat Umar Farookh Radi-Allahu-Ta’aala-Anhu Ke Daur May Jab Aazhar-Bayijaan Fateh Hua Aur Musalmano Ko Mukhtalif Chizen Mili! Ek Shaks Utba Naami Ko Nihayat Nafis Halwa Mila Jo Usne Hazrat Farookh-A-Aazam Radi-Allahu-Ta’aala-Anhu Ki Khidmat May Tohfa Bhej Diya! Hazrat Umar Farookh-A-Aazam Radi-Allahu-Ta’aala-Anhu Ne Us Halwe Ko Dekhker Aur Chakhker Farmaya, Kya Yeh Halwa Sabne Khaya Hain Ya Mere Hi Liye Aaya Hain? Lane Wale Ne Arz Kiya, Huzoor Sirf Aapke Liye Aaya Hain! Aapne Usi Waqt Bhejne Wale Ke Naam Ek Khath Likha-

1f496💖ALLAH Ke Bande Amirul-Momineen Umar Ki Janib Se Utba Bin Markadh Ke Naam-
Amma-Baad,
Yaad Rakho Ki Yeh Halwa Na Tumahri Koshish Se Haasil Hua Aur Na Hi Tumahri Maa Ya Tumahre Baap Ki Koshish Se Haasil Hua Hain, Hum To Sirf Wahi Chizen Khayege Jise Tamaam Musalman Apne-Apne Ghar May Pet Bharker Khaye!

(Futuhul Buldaan Mugniyul Wayizeen Pg-473)

************************
2666SABAK:2666
********
Yeh The Hamare Aslaaf Jineh Ri-aaya Ke Har Fardh Ka Khayaal Tha! Wo Koi Aisi Chiz Na Khate Jo Ri-aaya Ko Mayassar Na Aa Sake! Wo Ri-aaya Ko Apni Aulaad Se Bhi Zyada Aziz Samajhte The!

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm