Islamic Blog

Jab aap akele namaz padh rahe ho’n to Ameen aahista kahei’n. Jab Zohar aur A’asr imam ke peeche padhei’n to phir bhi aahista kahei’n. Lekin jab aap jehri namaz mein imam ke peeche ho’n to jis waqt imam walaz zaaaleeen kahe to aap ko oonchee awaz se Aamin kehni caahiey. Balke Imam bhi sunnat ki pairwee mein Aamin pukar ke kahe. Aur muqhtadiyo’n ko imam ke Aamin shuru karne ke baad Aamin kehni chahiey.

Wael bin Hajar r.a. riwayat karte hain Rasool Allah s.a.w. ne: ghairil maghzoobi a’alaihim walaz zaaaleeen padha phir Aap ne buland awaaz se Aamin kahi. 
(Tirmizee: al Salah 248 – Abu Dawood: al Salah 932) Imam Tirmizee ne Hasan jabke Ibne Hajar aur Imam Dar e Qutini ne Saheeh kaha.

Abu Huraira r.a. kehte hain ke jab Rasool Allah ghairil maghzoobi a’alaihim walaz zaaaleeen to Aap kehte Aamin. (Is qadr oonchee awaaz se) ke pehli saf mein Aapke ird‐gird ke log sun lete.
(Baheqhee V2 P 158 – Ibne Qhuzaima 571 – Ibne Hibban 462) Ise Imam Haakim aur Imam Zahabi ne Saheeh kaha.

Abu Huraira r.a. farmate hain ke Rasool Allah s.a.w. ne farmaya: ‘Jab Imam Aamin kahe to tum bhi Aamin kaho. Jis shaqs ki Aamin farishto’n ki Aamin ke muwafiq hogai to iske pehle gunah muaaf kardiey jate hain.’ (Bukhari: al Azan 780 – Muslim: al Salah 410)

Is hadees se maloom hua ke jis muqtadi ne abhi Surah Fateha shuroo ya qhatam nahi ki wo bhi Aamin kehne mein doosro’n ke saath shareek hoga. Taake ise bhi guzishta gunaho’n ki muafee mil jaae. Wallah A’alam
Imam ibne Qhuzaima is hadees ki tashreeh mein farmte hain: Is hadees se saabit hua ke Imam oonchee awaaz se Aamin kahe kyou’nke Nabi e Rahmat muqtadi ko Imam ki Aamin ke saath Aamin kehne ka hukam isi soorat mein de sakte hain jab muqtadi ko maloom hoke imam Aamin keh raha hai. Koi aalim tasawwur nahi karsakta ke Rasool Allah muqtadi ko imam ki Aamin ke sath Aamin kehne ka hukam dei’n jabke wo apne imam ki Aamin ko sun na sake. (Saheeh Ibne Qhuzaima V1 P276)

Abdullah bin Zubair r.a. aur inke muqhtadiyo’n ne itni buland awaaz se Aamin kahi ke masjid goonj gai.
(Bukhari: Jahar al Imam bit Taameen, Musannaf Abdur Razzaq V2 P96) Imam Bukhari ne ise basagheeya jazam zikar kiya hai)

A’akrama r.a. farmate hain: ‘Main ne dekha ke imam jab ghairil maghzoobi a’alaihim walaz zaaaleeen kehte to logo’n ke Aamin ki wajah se masjid goonj jaati.’ (Musannaf Ibne abi Sahiba V2 P187)

A’ataa bin Abi Rabaah r.a. farmate hain: ‘Maine 200 Sahaaba Ikram ko dekhe ke Baithullah mein jab imam ghairil maghzoobi a’alaihim walaz zaaaleeen kehta to sab buland awaaz se Aamin kehte.’ (Behaqhee V2 P59) Iski sanad Imam Ibne Hibban ki shart par Saheeh hai.

Rasool Allah s.a.w. ne farmaya: ‘Jis qadr yahoodi Salaam aur Aamin se cihdhte hain itna kisi aur cheez se nahi chidhte.’
(Ibne Majja: Iqamatis Salah 856) Ise Imam Ibne Qhuzaima V1 P288 Hadees 574, V3 P38 Hadees 1585 aur Imam Boosiri nahi Saheeh kaha.
Haafiz ibne Abdul Bar r.a. ne zikar kiya ke Imam Ahmad bin Hambal r.a. is shaqs par saqht naraaz hote jo buland awaaz se Aamin kehne ko makruh samajhta. Kyou’nke yahoodi Aamin se chidhte hain.

Source :https://iqrakitab.wordpress.com

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm