Islamic Blog

►Assalaamu alaikum mere bahiyo hum kai baar masjid me thodi der se pahuchte hai jab tak jamaat khari ho jati hai.
(4 RAKA’AT FARZ NAMAAZ)
…. hamari chhuti hui raka’at puri karne ka tariqa.

►”Sabse pehle to yeh jaanle ki jaise hi imaam sahab 1 salam pherte hai to humko salam NAHI pherte hue ALLAHU AKABAR kehte hue khare ho jaana chahiye….phir….

►1-agar 1 raka’at reh gai hai to aap pehle SANA parhe phir ALHAMDU SHARIF(SURAH FATIHAH) ke baad koi SURAH(ya 3 AAYAT ya 3 chhoti AAYAT ke barabar ki bari AAYAt) parhe. phir RUKU aur 2 SAJDE kare Phir ATAHIYAAT, DURUD aur DUA parhkar salaam pherle.

►2-agar 2 raka’at reh gai hai to aap pehle SANA parhe phir ALHAMDU SHARIF(SURAH FATIHAH) ke baad koi SURAH(ya 3 AAYAT ya 3 chhoti AAYAT ke barabar ki bari AAYAt) parhe phir RUKU aur 2 SAJDE karke doosri raka’at ke lie kare ho jaen. Phir dusri raka’at me bhi ALHAMDU SHARIF(SURAH FATIHAH) ke baad koi SURAH(ya 3 AAYAT ya 3 chhoti AAYAT ke barabar ki bari AAYAt) parhe phir RUKU aur 2 SAJDE karke ATAHIYAAT, DURUD wa DUA parhkar salaam pherle.

►3-agar 3 raka’at reh gai hai to aap pehle SANA parhe phir ALHAMDU SHARIF(SURAH FATIHAH) ke baad koi SURAH(ya 3 AAYAT ya 3 chhoti AAYAT ke barabar ki bari AAYAt) parhe phir usi tariqe se RUKU aur 2 SAJDE kare Phir dusri raka’at me bhi ALHAMDU SHARIF(SURAH FATIHAH) ke baad koi SURAH(ya 3 AAYAT ya 3 chhoti AAYAT ke barabar ki bari AAYAt) parhe phir RUKU aur 2 SAJDE karne ke baad ab sirf ATAHIYAAT parhkar khade ho jaye phir sirf ALHAMDU SHARIF(SURAH FATIHAH) ke baad RUKU aur 2 SAJDE kare phir ATAHIYAAT, DURUD aur DUA parhkar salaam pherle.

►4-agar 4 raka’at reh gai hai to aap pehle SANA parhe phir peheli aur dusri raka’at mein ALHAMDU SHARIF(SURAH FATIHAH) ke baad koi SURAH(ya 3 AAYAT ya 3 chhoti AAYAT ke barabar ki bari AAYAt) parhe. DUSRI raka’at ke dono SAJDO ke baad ATAHIYAAT parhkar teesri raka’at ke lie khare ho jaye phir ALHAMDU SHARIF(SURAH FATIHAH) ke baad RUKU aur 2 SAJDE karke khade ho jaye aur chauthi raka’at mein bhi ALHAMDU SHARIF(SURAH FATIHAH) ke baad RUKU aur 2 SAJDE kar le phir ATAHIYAAT, DURUD aur DUA parhkar salaam pherle.

Note:- agar FARZ namaz chahe MARD ho ya AURAT akele parhte ho to FARZ ki TEESRI aur CHAUTHI raka’at mein ALHAMDU SHARIF(SURAH FATIHAH) ke baad koi dusri SURAH na milaye seedhe RUKU me chale jae, yeh sirf FARZ namaz ke lie hai WAJIB, SUNNAT aur NAFIL ki sabhi raka’at mein ALHAMDU SHARIF ke baad dusri SURAH parhna WAJIB hai.

ALLAH HUM SABHI KO PANCHO WAQT KI NAMAZ ADA karne ki toufiq ataa farma de AAMEEN

Asalam-o-alaikum , Hi i am noor saba from Jharkhand ranchi i am very passionate about blogging and websites. i loves creating and writing blogs hope you will like my post khuda hafeez Dua me yaad rakhna.
mm