NAMAZ-E EID KA BAYAN AUR TARIKA
Aur
NAMAZ-E EIDAIN KAI AHKAAM AUR MASAIL:
———————————————————————————–
💐💐💐💐💐💐💐💐💐
{1} Hazrat Ali (R.A) Farmatay Hain:
“Jumah, Arfa, Qurbani Aur Eid-ul Fitr Kai Din Ghusl Karna Chahiye.”
بیهقی 3/278، اس کی سند صیح ہے
Hazrat Abdullah Bin Umar (R.A) Eid Kai Din Eidgah Ki Taraf Nikalnay Se Pehlay Ghusl Kiya Kartay Thay.
موطا امام مالک، العیدین، باب العمل فی غسل العیدین والنداء فیهما والاقامة، 1/177 اس کی سند اصح الاسانید ہے
{2} Rasoolullah (S.A.W) Aur Hazrat Abu Bakar Wa Umar (R.A) Eidain Ki Namaz Khutbay Se Pehlay Padhtay Thay.
(Bukhari, Hadees: 962, 963)
(Muslim, Hadees: 884)
{3} Eid Agar Jumah Kai Din Ho To Namaz-e Eid Padhnay Kai Baad Jumah Padh Len Ya Zohar, Ikhtiyaar Hai.
(Ibn Majah, Hadees: 1310)
(Abu Da’wud, Hadees: 1070)
{4} Rasoolullah (S.A.W) Ne Eidain Ki Namaz, Azaan Aur Takbeer Kai Bagair Padhi.
(Muslim, Hadees: 885)
Jabir Bin Abdullah (R.A) Ne Farmaya:
“Namaz-e Eid Kai Liye Azaan Hai Na Takbeer, Purkarna Hai Na Koi Aur Awaaz.”
(Muslim, Hadees: 886)
{5} Aap (S.A.W) Ne Eidgah Me Siwa-e Eid Ki Do (2) Rakaton Kai Na Pehlay Nafil Padhay Na Baad Me.
(Bukhari, Hadees: 964, 989)
(Muslim, Hadees: 884)
{6} Nabi (S.A.W) Eid-ul Fitr Me Kuch Khakar Namaz Ko Nikaltay Aur Eid-ul Azha Me Namaz Padh Kar Khatay.
(Tirmizi, Hadees: 541)
{7} Rasoolullah (S.A.W) Eid-ul Fitr Kai Rooz Taaq Khajorain Khakar Eidgah Jaya Kartay Thay.
(Bukhari, Hadees: 953)
{8} Abdullah Bin Basar (R.A) Eid-ul Fitr Kai Rooz Namaz Kai Liye Gaye Imam Ne Namaz Me Takheer Kardi To Farmanay Lagay:
“Rasoolullah (S.A.W) Kai Zamanay Me Ham Is Waqt Namaz Se Farigh Ho Chukay Hotay Thay, Raawi Kehta Hai Ki Ye Chasht Ka Waqt Tha.”
(Abu Da’wud, Hadees: 1135)
{9} Eidgah Me Jis Raastay Se Jaye, Wapsi Par Raasta Tabdeel Karen.
(Bukhari, Hadees: 986)
*******************************************************************************
NAMAZ-E EID KA TARIKA:
———————————————
Eid Ki Namazon Ko Salat-ul Eid (Eid Ki Namaz) Aur Salat-ul Eidain (Eidon Ki Namaz) Bhi Kehtay Hain. Dono Eidon Ko Ijtimaa-e (Akathay) Tor Par Arabi Zaban Me “Eidain” Kehtay Hain.
Dono Eidon Ki Namaz Kai Padhnay Ka Tarika Eak Hi Jaisa Hai.
Rasoolullah (S.A.W) Eid-ul Fitr Aur Eid-ul Azha Kai Din Eidgah Jatay, Sab Se Pehlay Namaz Padhtay, Phir Khutbah Detay Jabki Loog Safon Me Baithtay Rehtay. Khutbah Me Logon Ko Nasihat, Wasihat Kartay Aur Hukum Detay Phir Wapas Lot’tay.
(Bukhari, Hadees: 956)
(Muslim, Hadees: 889)
Wazu Kar Kai Qiblay Ki Taraf Moh Kar Kai Allahu Akhar Kehtay Huway Rafa Yadain Karen.
(Bukhari, Hadees: 738)
Rafa Yadain Yaani Namaz Me Dono Hathon Ka Kandhon Tak Uthana.
Phir Seenay Par Hath Baandh Kar Duaye Iftitaah Padhain.
Phir Duaye Iftitaah Khatam Kar Kai Qiraat Se Pehlay (Thehar Thehar Kar) Saat (7) Takbirain Kahain.
(Abu Da’wud, Hadees: 1149, 1152)
Har Takbeer Par Rafa Yadain Karen Aur Har Takbeer Kai Baad Hath Bandhain. Phir Imam Unchi Awaaz (Loud Voice) Se Aur Muqtadi Aahista Alhamdu Shareef Padhain, Phir Imam Unchi Awaaz Se Qiraat Padhay Aur Muqtadi Chup Chap Sunain.
Nabi (S.A.W) Ne Eid-ul Fitr Aur Eid-ul Azha Me Surah Qaf (Al Qur’aan Surah No: 50) Aur Surah Qamar (Al Qur’aan Surah No: 54) Padhain. Eak Aur Riwayat Me Surah Ala (Al Qur’aan Surah No: 87) Aur Surah Ghashiya (Al Qur’aan Surah No: 88) Padhna Bhi Aaya Hai.
(Muslim, Hadees: 891
Behtar Hai Ki Surah Fatiha Kai Baad Masnoon Qiraat Ki Jaye, Jab Pehli Rakat Padh Kar Aap Dusri Rakat Kai Liye Khaday Hon, Aur Qiyam Ki Takbeer Keh Chukain To Qiraat Shuru Karnay Se Pehlay Panch (5) Takbirain Kahain.
(Abu Da’wud, Hadees: 1149, 1152)
In Takbiraat Me Bhi Rafa Yadain Karen Aur Har Takbeer Kai Baad Hath Bandhain. Imam Bayhaqi (Rahimahullah) Ne Namaz-e Eidain Ki Zayid Takbiraat Me Rafa Yadain Karnay Par Jis Hadees Se Istadlaal Kiya Hai Is Me Hazrat Abdullah Bin Umar (R.A) Farmatay Hain Ki Rasoolullah (S.A.W) Har Us Takbeer Me Hath Uthatay Jo Roku Me Janay Se Pehlay Kehtay, Yahan Tak Ki Aap (S.A.W) Ki Namaz Mukammal Ho Jati.
(Abu Da’wud, Hadees: 722)
Phir Do (2) Rakatain Padh Kar Salaam Phair Den.
SADAQAT-UL FITR KA ADA KARNA:
———————————————
Sadaqat-ul Fitr Ko Zakat-ul Fitr Kai Naam Se Bhi Jana Jata Hai.Rasoolullah (S.A.W) Ne Sadaqat-ul Fitr Ko Har Muslaman Mard, Aurat, Budhay, Bachay Par Farz Kiya Hai.
(Sahi Muslim, Hadees: 984)
Eid-ul Fitr Kai Liye Ghar Se Nikalnay Se Pehlay Sadaqat-ul Fitr Ada Karna Chahiye.
(Bukhari, Hadees: 1503)
(Muslim, Hadees: 986)
Is Se Maloom Huwa Ki Eidgah Me Pohanch Kar Sadaqat-ul Fitr Ada Karna Sahi Nahe Hai, Balki Isay Namaz-e Eid Kai Liye Nikalnay Se Pehlay Ada Karna Chahiye.
- शब ए बारात की रात में क्या पढ़े | 2022 शब ए बरात का रोज़ा कब रखते है | - 7th March 2022
- Shab-E-Barat Ki Fazilat (शाबान बरक़त वाली रात) - 5th March 2022
- शब ए बारात की नमाज और सलामत तस्बीह (हिंदी) - 5th March 2022