Islamic Blog

Namaz-e-Eid-ul-Azha Ki Niyyat:
“Main Niyyat Karta Hun
2 Rak’At Namaz Eidul Azha Ki
6 Zaa’Id Takbiro Ke Sath
Waste Allah Ke
Pichhe Is Imaam Ke (Allahu Akbar Keh Kar Hath Bandh Len)”

Eid-ul-Azha Ke Din Namaz Padte Hain
Fir PalatKar QURBANI Karte Hain
JisNe Is Tariqe Pe Amal Kar Liya
Usne Hamari Sunnat Paa Li
#BUKHARI

Eid-ul-Azha Ke Din Nabi-e-Pak EidGah Se Wapsi Tak
Kuch Khaate-Peete NA The
Aur
Waapas Aakar Qurbani Ka Gosht Hi Khaate The
#Musnad Ahmad

ZIBAH KA TARIQA:
JANWAR KO BAYE PAHLU PE IS TARAH LITAYE K USKA MUH QIBLA KI TARAF HO
JANWAR K PAHLU PE APNA DAHINA PAIR RAKH KAR ZIBAH KARE

QURBANI KE GOSHT KE 3 HISSE KARE
EK HISSA
SADQA KARDE,
EK HISSA AHBAAB ME TAQSEEM KAR DE
Aur
EK HISSA APNE KHARCH KE LIYE RAKH LE
#AALAMGIRI

BAKRA EID KI NAMAZ WAAJIB HE
MAGAR
UNHI LOGO PAR JIN LOGO PAR JUMA FARZ HE
BILA WAJAH EIDAIN KI NAMAZ CHHODNA SAKHT GUNAH HE
#DURR-e-MUKHTAR

EidGah Jana SUNNAT He!
Eid Ki Namaz Ke Liye EidGah Jana Sunnat He
Bila Uzar Na Jana Makruh He
Budhe Or KamZor Log Mohalle Ki Masjid Me Paden

Mas’Ala:
NAMAZe EID KO JAATE WAQT RASTE ME BULAND AAWAZ SE TAKBIR PADTE HUE JAYE
NAMAZe EID SE PEHLE KUCHH NA KHANA MUSTAHAB HAI

ALLAHU AKBAR ALLAHU AKBAR
LA ILAAHA ILLALLAH
WALLAHU AKBAR
ALLAHU AKBAR WALILLAHIL HAMD
9-ZilHaj FAJR
Se
13-ZilHaj ASR Tak
FARZ Baad 3 Ya 5 Ya 7 Baar Paden

Mas’Ala:
ZIBAH KE BAAD JAANWAR KO ACHHI TARAH THANDA HONE DEN
THANDA HONE SE PAHLE GARDAN
AUR
CHAMDA NA UTARE
#M.QURBANI: P172
*Am’al Kijiye

Asalam-o-alaikum , Hi i am noor saba from Jharkhand ranchi i am very passionate about blogging and websites. i loves creating and writing blogs hope you will like my post khuda hafeez Dua me yaad rakhna.
mm