Islamic Blog

Namaz e Kusuf: Suraj aur Chand grahan ki namaz

Hazrat Abdullah Bin Abbas Radhi ALLAH anhuma se riwayt hai ke Nabi Sallallahu alaihi wasallam ke zamane me suraj grahan hua. Aap ne bajama’at 2 rakaate namaz padhi. Aap ne surah baqarah tilawat karne ki miqdar ke qarib lamba qayam kiya phir lamba ruku kiya, phir sir utha kar lamba qayam kiya, phir pahle ruku se kam lamba ruku kiya, phir ( qauma karke ) do sajde kiye. Phir khade ho kar lamba qayam kiya phir do ruku kiye phir do sajde karke tashahhud padh kar salaam phera, phir khutba diya. Jisme ALLAH ki taarif aur sana ki aur farmaya,” suraj aur chand ALLAH ki nishaniyo me se do nishaniya hai. Kisi ke marne ya paida hone se inko grahan nahi lagta. Jab tum grahan ko dekho to ALLAH se dua karo, takbeer kaho, namaz padho aur sadqa karo. Maine (daurane namaz) jannat dekhi, agar mai usme se angoor ka ek khosha le leta to tum rahti duniya tak usme se khate aur maine dozakh bhi dekhi, us se badhkar haulnaak manzar maine kabhi nahi dekha. Maine jahannam me zyada ta’daad aurto ki dekhi kyuke wo khawind ka kufrane ne’mat karti hai. Aur agar tu ek muddat tak unke sath neki karta rahe phir unki marzi ke khilaf koi kaam kare to kahti hai maine tujhse kabhi bhalai nahi dekhi.”

Sahi Bukhari Hadith No. (1052)
Sahi Muslim, kusuf, Hadith No. (907)

Hazrat Asma Radhi ALLAH anhuma kahti hai ke ek dafa (suraj grahan ki namaz me) aapne itna lamba qayam kiya ke mujhe (aurto ki saf me khade khade) za’af aagaya. Maine barabar me apni mashk se pani lekar sir par dalna shuru kiya(phir dobara qayam me shamil ho gayi).

Sahi Bukhari Hadith No. (922, 1053)
Sahi Muslim, kusuf,Hadith No. (905)

FAIDAH

In hadeeso se ye malum hua ke Rasul ALLAH sallallahu alaihi wasallam suraj aur chand grahan ke waqt kis qadr ehtamam se namaz padhte the jinme aurte bhi shamil hoti thi lekin humne kabhi is namaz ki taraf tawajjo nahi ki. In 2 rakaato me wo lamba qayam karte aur ek rakaat me 2 ruku karte. Ye baat bhi waze hoti hai ke suraj aur chand grahan ALLAH ki qudrat ka namoona hai. To ALLAH ke ghazab se darna chahiye aur is waqt namaz, dua aur sadqa karna chahiye.
Hadis se ye bhi pata chalta hai ke jahannam me aurto ki zyada taadad unke apne shauhar se naashukre aur ehsaan faramosh hone ki wajah se hogi. Jab kisi bande ki ehsaan faramoshi kabeera gunaah hai to jo shaqs apne Khaliq ki, apne Rab ki ehsaan faramoshi karta hai uska gunaah kis qadr khatarnak hoga. ALLAH hum sab ko hidayat de ke hum Uski ne’mato ka, jinka hum puri zindagi lutf uthate hai, Uske ehsaan ka, har pal shukr ada karte rahe aur uske shukrguzar bande bane. AMEEN.

Asalam-o-alaikum , Hi i am noor saba from Jharkhand ranchi i am very passionate about blogging and websites. i loves creating and writing blogs hope you will like my post khuda hafeez Dua me yaad rakhna.
mm