Islamic Blog

QIYAAM ME 11 SUNNATE HAIN.

1.takbire tahrima k waqt sidha khada rehna ( matlab k sar ku zukana nahi)’
2.dono paanv k bich me 4 ungli jitna distance rakhna or paanv ki ungliyo ko kible ki taraf rakhna.
3.muktadini takbire tahrima imaam ki takbire tahrima k saath hona.
4.takbire tahrima kehte time dono hath ku kaan tak uthana.
5.takbire tehrima k waqt haath ki ungliyo kible ki taraf rakhna.
6.takbire tahrima k waqt haath ki ungaliyo apni asal posititon pe rakhna.
7.haath bandh ne k waqt daye hath ki hatheli ko baaye hath ki hatheli ki pith pe rakhna.
8.mardo ko daye hath ki tachli ( choti ) ungli or anguthe dono ko mila k baaye hath ka kanda pakadna.
9.bich wali 3 ungliyo ko baaye hath ki kalai par rakhna.
10.mardo ko naaf k niche haath bandna.
11.sana padhna .——————————-
Qira’at ki 7 Sunnate hain.
1. ta’avvuj yani auzubillah pura padhna.
2.tasmiyah yani pura bismillah padhna.
3.dhire se aamin kehna.
4.fazar or zohar me” tivale mufassal” matlab surah hujurat se surah burj tak asar or isha me”avsaale mufassal” matlab surah buruj se surah lam yakul tak magrib me”kisare mufassal” matlab surah iza zulzilat se surah naas tak ji surah me se koi surah padhna.
5.fajar ki pehli rakat lambi karna.
6.qura’an na ziyadah jaldi padhna ,na ziyadah ruk k padhna, balke middle speed se padhna.
7.farz namaz ki teesri or chothi rakat me sirf surah fatiha padhna.

—————————— —————–
Ruku’a ki 8 sunnate.
1.ruku’a ki takbir padhna.
2.mardo ko dono haath se guntan pakadna .
3.haath ki ungliyo ko pahona kar k gunatan pakadna.
4.paanv ki pindi o ko sidhi rakhna.
5.ruku’a me mardo ko pith bicha dena.
6.ruku’a me mardo ko sar or surin sidhi line me rakhna.
7.ruku’a me kam se kam 3 martaba”subhan rabbiyal azim” padhna
8.ruku’a se uthte time imaam ku” samiallahu liman hamidah”kehna muktadi ku”rabbana lakal hamd” kehna or akele namaz padhne wale ko dono kehna.

————————————-
Sajde ki 12 sunnate. ————————-
1.sajdah ki takbir padhna
2.jab sajdah me pehle dono guntno ko rakhna.
3.uske baad dono hath ku zameen par rakhna.
4.uske baad naak zameen par rakhna.
5.uske baad peshani ko zameen par rakhna.
6.dono hatho k bich sajdah karna.
7.mardo ko sajdah me apne pet ku jaang se alag rakhna.
8.mardo ku baazu ( matlab haath ki koni or khabhe ku ) pehlu ( matlab paasa ) se alag rakhna.
9.mardo ko haath ki koni ko zameen se alag rakhna.
10.sajdah me kam se kam 3 martaba” subhan rabbiyal aa’ala” padhna.
11.sajdah se uthkar tabir padhna.
12.sajdah se uthne k time sab se pehle peshani ,fir naak , fir haath , or uske baad guntno ( is tarah tartib se ) uthana or dono sajdo k darmiyan itmenan se bethna.

—————————— ————
Qaidah ki 13 sunnate.
1.kaidah me mardo ko daaya paanv khada rakhna or baaya paanv bicha k uske uper bethna. or paanv ki ungliyo ko kible ki taraf rakhna.
2.kaidah me dono haatho ko jaang par rakhna.
3.tashahahud ( matlab attahiyyat ) me”ashahadu allah ilaah” pe shahdat ki ungli ko uthana or” illallah” pe zuka dena.
4.aakhir qaidah me durud sharif padhna.
5.durud sharif padhne k baad qura’an k hadees me aai ho esi koi duaa padhna.
6.dono taraf salam firana.
7.salam ki sura’at daai taraf se karna.
8.jab salam firte time imaame muktadi ,farishto or nek jinnat ko salam ki niyat karna.
9.salam firte time mukatdi e imaam ,farishto or nek jinnat or dai-bai k muktadi o ko salam ki niyat karna.
10.munfarid ( akele namaz padhne wale ) ku sirf farishto ko salam ki niyat karna.
11.muktadi ko imaam k saath salam firana.
12.imaam ko dusri salam ki aawaz ku pehli salam se thoda aawaz ku kaam karna.
13.masbuke ( jiski suru’aat ki rakat chut gai ho ) imaam k farig hone ka intezar kare.

********{ Guftagu ki Sunnatain }*********1. Jub guftagu Karen to Alfaz saf saf Ada Karen samne wale ko mutmain karden, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ki Guftagu hamari tarah laga taar jldi jldi Nahi hoti thi bl k saf saf har Mazmoon Doosre se Mumtaz hota tha paas Baithnewale Acchi tarah Zahe Nasheen Karlete the.(shamail tirmizi).

2. Aksar aouqat Khamoosh Rehna aur Zarurat per Guftagu krna Masnoon hai, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam AksarKhamoosh Rehte the Bagair zarurat Guftagu na farmate the.( shamail tirmizi).

3. Kisi waje se kisi janib ishara krna ho toPoore hath se Ishara Krna chahiye, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam Poore Hath se Ishara farmate the.( shamail tirmizi).

4. Guftagu me muskuraht ho, Hazrat Abdullah bin Hairs R.A farmate hai k Huzoor sallaallahu alaihi wasallam se zyada tabassum Krne wala main e Nahi daikha.(shamail tirmizi).

5. Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ka Hansna Tabassum se zyada nahi hota tha.

6. Tehzeeb se giri huwi baton ko Isharatnkehden. Yaad Rakhe:Jub Kabhi bolna Waqt per bolna, Muddaton Sonchna Mukhtasar Bolna.

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)