Namaz Allah ki ibadat ka ek tarika hai. Namaz ko padhne ka hukm khud Allah ne diya hai, isliye isko kisi bhi halat mein taala nahi ja sakta. Allah ki taraf se din mein 5 time ki namaz ka hukm hai, agar koi insan isko nahi padhta hai to usko gunah hota hai, aur padh lene se sawab milta hai aur Allah khush hota hai.
∗ Paanch (5) Waqt Ki Namaz Aur Rakat / Namaj Ka Tarika
» 1. Fazar Ki 4 Rakat (2 Sunnat Aur 2 Farz).
» 2. Johar Ki 12 Rakat (4 Sunnat + 4 Farz + 2 Sunnat + 2 Nafil)
» 3. Asar Ki 8 Rakat (4 Sunnat + 4 Farz)
» 4. Magrib Ki 7 Rakat (3 Farz + 2 Sunnat + 2 Nafil)
» 5. Isha Ki 17 Rakat (4 Sunnat + 4 Farz + 2 Sunnat + 2 Nafil + 3 Vitr + 2 Nafil)
FAJAR KI NAMAZ
Fajar ke waqt kul 4 Rak’at hai
Pahle 2 Rak’at Sunnat fir 2 Rak’at Faraz
👉🏿 2 RAK’AT SUNNAT KI NIYAT- Niyat ki maine 2 Rak’at Namaz Sunnat Fajar ki Allah Ta’ala ke liye Sunnat Rasolulah ki Muh mera taraf Kaba shareef ke (Allahu Akbar).
👉🏿 2 RAK’AT FARAZ KI NIYAT- Niyat ki maine 2 Rak’at Namaz Faraz Fajar ki Allah Ta’ala ke liye (Jab Imama ke pechhe padhe to kahe ‘Peechhe is Imam ke) muh mera taraf Kaba shareef ke (Allahu Akbar)
(Note : FAJAR KI NAMAZ SUBAH KE WAQT PADHI JATI HAI)
________________________________________________________
ZUHAR KI NAMAZ
Zohar me 12 Rak’at h. Pahle 4 Rak’at Sunnat fir 4 Rak’at Faraz fir 2 Rak’at sunnat fir 2 Rak’at Nafil
👉🏿 4 RAK’AT SUNNAT KI NIYAT- Niyat ki mane 4 Rak’at Namaz Sunnat Zuhar ki Allah Ta’ala ke liye Sunnat Rasolullah ki Muh mera taraf kaba sharif ke (ALLAHU AKBAR)
👉🏿 4 RAK’AT FARAZ KI NIYAT- niyat ki maine 4 Rak’at Namaz Faraz Zuhar ki Allah Ta’ala ke liye (agr Imam ke peechhe ho to ye bhi kahe ‘peechhe is Imama ke) Muh mera taraf Kaba sharif ke (ALLAHU AKBAR)
👉🏿 2 RAK’AT SUNNAT KI NIYAT- jaise opar 4 Rak’at sunnat ki niyat btayi gai h baise hi kare lekin 4 ki jgah 2 kahe (niyat ki maine 2 Rak’at….)
👉🏿 2 RAK’AT NAFIL KI NIYAT- niyat ki maine 2 Rak’at Namaz Nafil ki Allah Ta’ala ke liye Muh mera taraf Kaba Sharif ke (ALLAHU AKBAR)
________________________________________________________
ASAR KI NAMAZ
Asar me kul 8 Rak’at h pahle 4 Rak’at Sunnat fir 4 Rak’at Faraz
👉🏿 4 RAK’AT SUNNAT KI NIYAT- Niyat ki maine 4 Rak’at Namaz Sunnat Asar ki Allah Ta’ala ke liye Sunnat Rasolulah ki Muh mera taraf Kaba Shareef ke (ALLAHU AKBAR)
👉🏿 4 RAK’AT FARAZ KI NIYAT- Niyat ki maine 4 Rak’at Namaz Faraz Asar ki Allah Ta’ala ke liye (Imam ke pechhe ho to ye bhi kahe ‘Peechhe is Imama ke’) Muh mera taraf Ka Kaba shareef ke (Allahu Akbar)
________________________________________________________
MAGRIB KI NAMAZ
MAGRIB ki Namaz me kul 7 Rak’ h. Pahle 3 Rak’at Faraz fir 2 Rak’at Sunnat fir 2 Rak’at Nafil
👉🏿 3 RAK’AT FARAZ KI NIYAT- Niyat ki maine 3 Rak’at Namaz Faraz Magrib ki Allah Ta’ala ke liye (agr Imam ke peechho ho to ye bhi kahe ‘peechhe is Imam ke’) Muh mera taraf Kaba Sharif ke (Allahu Akbar)
👉🏿 2 RAK’AT SUNNAT KI NIYAT- Niyat ki maine 2 Rak’at Namaz Sunnat Magrib ki Allah Ta’ala ke liye Sunnat Rasolulah ki Muh mera taraf Kaba sharif ke (Allahu Akbar)
👉🏿 2 RAK’AT NAFIL KI NIYAT- Niyat ki maine 2 Rak’at Namaz Nafil Allah Ta’ala ke liye Muh mera taraf Kaba Shareef ke (Allahu Akbar)
________________________________________________________
ISHA KI NAMAZ
Namaze Isha me kul 17 Rak’at h pahle 4 Rak’at Sunnat fir 4 Rak’at Faraz fir 2 Rak’at Sunnat fir 2 Rak’at Nafil iske bad 3 Rak’at Witar (Wajib) Fir 2 Rak’at Nafil
👉🏿4 RAK’AT SUNNAT KI NIYAT- Niyat ki maine 4 Rak’at Namaz Sunnat Isha ki Allah Ta’ala ke liye Sunnat Rasolulah ki Muh mera taraf Kaba Sharif ke (Allahu Akbar)
👉🏿4 RAK’AT FARAZ KI NIYAT- Niyat ki maine 4 Rak’at Namaz Faraz Isha ki Allah Ta’ala ke liye (agr Imam ke pechhe ho to ye bhi kahe’Pichhe is Imam ke’) Muh mera Taraf Kaba Sharif ke (Allahu Akbar)
👉🏿2 RAK’AT SUNNAT KI NIYAT- Niyat ki maine 2 Rak’at Namaz Sunnat Isha ki Allah Ta’ala ke liye Sunnat Rasolullah ki Muh mera taraf Kaba sharif ke (Allahu Akbar)
👉🏿2 RAK’AT NAFIL KI NIYAT- Niyat Ki maine 2 Rak’at Namaz Nafil ki Allah Ta’ala ke liye Muh mera taraf Kaba Sharif ke (Allahu Akbar)
👉🏿3 RAK’AT WITAR KI NIYAt- Niyat ki maine 3 Rak’at Namaz Wajib Witar ki Allah Ta’ala ke liye Muh mera taraf Kaba Sharif ke (ALLAHU AKBAR)
👉🏿 2 RAK’AT NAFIL KI NIYAT- Opar bataya gya hai
Namaj Ka Tarika
- Shab E Barat Kya Hai - 5th March 2022
- Health Tips Hindi - 4th January 2021
- Ramadan Hadith - 4th January 2021