Islamic Blog

Yaha juma ki namaz farz ka tariqa hai jo 2-rakat hota hai. Juma ki namaz masjid main imam ke pichhe he adah hoti hai agar kisi ki namaz nikal jaye yani jamat chhot jaye, to phir wo namaz-e-Zohar adah kare. Sab se pahele niyat karejab imama shahab kahe Allah-o-akbar to namazi us ke baad takbir-e-tareema kare, yani apne dono hath apne kano tak le jakar dono hath ka angothay kano ki law pe lagahe yahi kan ka nichla hiss ape lagaye, aur apne dono hath banth le hath naf ke niche rakh kar band le baye hath ke uper daya hath ana chahiye aur girift bana kar pakarle daye hath se baye hath ko.
Phir SANA padhey.
SUBHANA-KA-ALLAH-HOMMA-WA-BEY-HAMDEEKA-WATA-BARA-KASMOOKA-WA-TAALA-JADDO-KA-WA-LAILAHA-GHAIRUKA
Iske baad padhiy_
AAOOZOO-BILLAHE-MINASH-SHAITAANIR-RAZEEM
Phir TASMIYAH padhey.
BISMILLAH-HIR-RAHMAANIR-RAHEEM
Iskebaad imam shahab sureh fateha parte hai wo sone
ALHAMDO-LILLAHI-RABBIL-AALAMEEN-AR-RAHAMAANIR-RAHEEM-MAALIKI-YAOMID-DEEN-IYYAKANABUDOO-WA-IYYAKA-NASTAEEN-EHDINAS-SIRATUL-MUSTAQEEM-SIRATUL LAZEENA-AN-AMTA-GHAIRIL MAGDOOBE-ALAIHIM-WALAD-DAWLLEEN
Phir imam shahab Quran ki koi si bhi sureh ki tilawwat karte hai. Maan lijiye, SUREH IKHLAAS.
QULHUWAL-LAAHO AHAD-ALLAHHO-SAMAD-LAM-YALID-WALAM-YOOLAD-WALAM-YAKUL-LAHO-KUFUWAN-AHAD
Phir jab imam shahab yeh kahe ALLAH-O-AKBAR aur ruku mai chaley jaye to namazi bhi unke pichhey roku main jaye aur yah tasbi padhey SUBHANA-RABBI-YAL-AZEEM yaha tasbi 3/5/7/ dafa pardh sakte hai.
Uske baad jab imam shahab TASMEE yahi yaha alfaz keh kar shidha khade ho jaye SAMEE-ALLAHO-LAYMAN-HAMIDAH to namazi bhi unke pichhey shidha khare ho jaye.
Fhir namazi sedha khare khare yeah kahe RABBANA LAKAL-HAMD jab imam shahab kahe ALLAH-O-AKBAR to namazi un kepichhey sajde main chalay jaye. Sajde mai jate howa zameen par pahela gotna rakhkhe, phir hath rakhkhe, phir dono hatho ke darmayan is taraha chehera rakhheke pehele naak aur phir doo hatho ka darmayan is taraha chehera rakkhe ke pehele naak aur phir math zameen par aye aur hath is tarah rakhkhe ki ungaliya kibla rukh ho.
Note_(Pao khare rakhkhe aur niche pao ki ungaliya shidhi zameen par rakhkhi ho, pet rano se nahi lagna chaheye mard ka)
Aur sajda mai yah tasbi padhey SUBHANNA-RABBIYAL-ALAA 3/5/7/ dafa par sakte hai, Phir jab imam shahab yeah kahe ALLAH-O-AKBAR aur yah kah kar bayth jaye to namazi bhi bayth jaye aur apna daya pao khara rakhkhe aur ulta payer ke uper beyth jaye. Jab imam shahab ALLAH-O-AKBAR kahe kar dobara sajde main jaye to namazi bhi unka pichhey dobra sajde main chalaye jaye aur yeh tasbi pardhy SHUBAANA-RABBIYAL-ALAA yah 3/5/7/ dafa bhi par sakte hai.
Phir jab imam shahab ALLAH-O-AKBAR kehete huwe shidha khade ho jaye to namazi bhi unke pichhey khade ho jaye ishe tarah imam shahab dosri rakat pardeyge wo bhi ayese hi unke pichhey padhiey (Dosri rakat mai sana nahi padhni).
Jab dosara sajda dosri rakat ka kar le imam shahab ke pichhey to bajaye shidha khare hone ke wahi bayth jaye aur ATTAYAT padhiy.
ATTAYYATO-LILLAHE-WASSALAWAT-WAT-TAYYEBATO-ASSALAMU-ALIKA-AYYOHAN-NABIYO-WA-REHMATULLAHI-WA-BARKATAH-ASSALMU-ALAINA-WA-ALA-IBADILLAHIS-SUALAIHEEN-ASHADU-AN-LAILAHILLAH-LAHO-WA-ASHADU-ANNA-MOHAMMADAN-ABDOHOO-WA-RASOOLUHOO.
ATTYAT padhte huwe jab ASHADU-AN-LAILAAHILLAH-LAHO par pahuchhey to daye hath ki shahadad ki ungli ko chhod kar baki ki tino ungli ko mothi ki tarrah band karle aur aunguthhe ko bhi milaye aur shahadad ki ungli ko thore deer ke liye uthha kar gira de.
Pir DAURD-E-IBRAHEEM padhey
ALLAHHUMMA-SALLEALA-MOHAMMADIN-WA-ALA-ALE-MOHAMMADIN-KAMA-SALLAYETA-AALA-IBARAHIMA-WA-ALA-ALAY-IBARAHIMA-INNAKA-HAMEEDUM-MAJEED.ALLAH-HUMMA-BAARIQ-ALA-MOHAMMEDIYON-WA-ALA-ALE-MOHAMMEDIN-KAMA-BARAKTA-ALA-IBRAHIMA-WA-ALA-ALE-IBARHIMA-INNAKA-HAMEEDUM-MAJEED
Phir koi dua padhey jo QURAN aur hadis main ho_
DUA [1]
ALLAHHUMM-INNE-ZALAMTU-NAFSEE-ZULMAN-KASEERAN-WA-INNAHU-LAA-YAGHFIRUZ-ZUNOOBA-ILLA-ANTA-FAGHFIRLEE-MAGHFIRATAM-MIN-INDIQA-WARHAMNEE-INNAKA-ANTAL-GHAFORUR-RAHEEM.
DUA [2]
ALLAHHUMMA-RABBANA-AATINA-FID-DUNYA-HASANAH-WA-FIL-AKHIRATE-HASANAH-WA-QINA-AZABAN-RAAR.
Inmai se koi ek dua padhey jab imam shahab yah kahe ASSALAMU-ALAYEKUM-WA-RAHMATULLAH to namazi shidha kandhey ki taraf muuh kare aur yahe alfaz dohoraye, phir jab imam shahab dobara yeh kahe ASSLAMU-ALAYEKUM-WA-RAHMATULLAH to ulte kandhey ki taraf muuh kar ke namazi yah alfaz dohoraye. Salam karte howe namazi ki nazaree kando ki taraf honi chahiye aur yah alfaz dil mai ada karna hota hai.

 

Dua mai yaad rakhne ki tarkhsht hai Allah ham tamam muslimo ko namaz sahi tariq se ada karne ki tawfiq de. Agar kuch bayan karne mai kuch galti ho gayi ho to mujhe bataye.
I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm