Islamic Blog

HIQAYAT Namroodh Ki Ek
Kamsin Ladki Ne Apne Baap Se Kaha, Abbajaan!
Mujhe Ijazat Dijiye Ki Main Ibrahim Ko Aag May Jalta
Hua Dekhun! Namroodh Ne Ijazat De Di Aur Usne
Aag Ke Karib Pahuchker Hazrat Ibrahim Alaihi Salam
Ko Dekha Ki Aapke Irdh-Girdh Aag Bhadak Rahi
Hain! Usne Kisi Unchi Jagah Per Chadker Dekha To
Aag Ke Sholay Aasmaan Se Baatain Ker Rahe The,
Magar Hazrat Ibrahim Alaihi Salam Bilkul Sahi-
Saalim Tashrif Farma Rahe The! Hairat May Aaker
Puchne Lagi, Ibrahim Itni Badi Aag Tumeh Jalati
Kyon Nahi? Farmaya, Jiski Zubaan Per “Bismillah-
Hir-Rehmaan-Nir-Rahim” Jaari Ho Aur Dil May
Khuda Ki Maarifat Ka Noor Ho, Usper Aag Ka Asar
Nahi Hota! Ladki Boli, Ibrahim! Main Bhi Tumahre
Paas Aana Chahti Hoon, Magar Charon Taraf To Aag
Ke Sholay Bhadak Rahe Hain! Aaoun Kaise?
Farmaya, “Laa-Ilaaha-Illallah-Ibrahim-Rasoolullah”
Kehker Be-Khauf Chali Aao! Ladki Ne Is Pak Kalime
Ko Padha Aur Fauran Aag May Koodh Padi! Khuda Ki
Qudrat Aag Usper Sardh Hogayi, Aur Wo Usme Sahi-
Saalim Zinda Rahi! Jab Hazrat Ibrahim Ke Paas Se
Apne Ghar Wapas Aayi Aur Baap Ko Saari Sar-
Gujasht Sunayi To Namroodh Ne Kaha, Dekh Main
Tere Bhale Ki Kehta Hoon! Deen-A-Ibrahim Se Baaz
Aa! Aur Boothon Ki Pooja Se Mooh Na Fher Warna
Accha Na Hoga! Namroodh Ne Agarche Ladki Ko
Bahoat Daraya-Dhamkaya Magar Usne Ek Na Maani
Aakhir Mal-oun Namroodh Ne Us Khuda Ki Pyari Per
Badi Sakhtiyan Ki, Jab Uski Sakhtiyan Hadh Se
Badgayi To Khuda Ke Hukm Se Hazrat Zibrayil Aaye
Aur Us Khuda Ki Pyari Ko Wahan Se Uthaker Hazrat
Ibrahim Alaihi Salam Ke Paas Pahucha Diya! Hazrat
Ibrahim Alaihi Salam Ne Use Apne Ladke Ke Nikah
May De Diya! Jisse Ulul-Azm Paighamber Paida
Hue! (Nujjahtul-Majalis, Kitaabuz-Zikr Jild-1, Pg-54)
Khuda Ki Ek Shaan Yeh Bhi Hain! “Yukrijul-Haiyyi-
Minal-Maiyyat” Murde Se Zinda Ko Paida Kerdeta
Hain! Namroodh Jaise Kaafir Se ALLAH Ne Aisi
Momina Ladki Paida Ki Jo Paighambaron Ki Maa
Bani! Malum Hua Ki Jiski Zubaan Per Kalima-A-
Tauhidh Jaari Ho Aur Dil May Irfaan-Baari Ho Wo
Aag Se Bari Hain! Deen Se Pyar Ki Ba-Daulat
Namroodh Ki Beti Per Bhi Aag Gulzaar Hogayi! Baap
Ko Chhoda Magar Deen Se Mooh Na Moda! Yeh
Hain Paak-Baaz Momina Aurat Ka Kirdaar! Aur
Namroodh Ki Ladki Ki Khush-Kismati Dekhiye Ki
Kaafir Ki Beti Hoker Paighamberon Ki Maa Bangayi
Aur Aaj Musalman Ki Betiyaan Hoker Hippiyon Aur
Tiddiyon Ki Maayen Bangayi! Aye Meri Maa-Behno!
Namroodh Ki Beti Ki Tarah Zubaano Per Kalma Jaari
Rakkho Aur Dil May Irfaan-A-Baari Paida Karo!
Musalman Zaadiyaan Bano Aur Mujahidh Wa Gaazi
Jano!
Karo Paida Musalman Aur Namazi, Dhani Talwar Ke
Maidaan Ke Gaazi!

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm