Islamic Blog

Jawab📕Haan

🍃🍂Bismillahhirrahmanirrahim🍃🍂

🔘Aksar dekha jata hai ke log bahut confuse rahte hai, ke Aj roza rahe ya na rahe, jabki napaki khatam ho chuki hoti hai.Khaskar haiz(menstruation) wali aurtein isme zada confuse rahti hai. Jabki Islamic shari’a ke mutabiq bina paaki ka ghusl kiye sehri karne ki ijazat hai.Najaane kitni baheno ka ek Roza is mamle ki wajah se aksar hi chhut jata hai aur unhe apne us Roze ki qaza ko fir bad me karni padti hai.
Aaiye is bat ko ham islamic  shari’a ki roshni me samjhte hai.

*🔴HADEES*
✔Umm Salama(r. a) aur Aisha(r. a) Riwayat karti hai ke Rasool Allah Sallallahu Alailhi Wa Sallam Junub(impurity/napaki) ki halat me uthte the aur Roza rakhte the.
*📚Bukhari :Kitabus Saum, 1926*
*Muslim:Kitabus Siyam, 1109*

👆Is hadees ke tahet apka roza jayez hoga lekin apko chahiye ke ap ghusl me jaldi kare kyunki apko namaz padhna hai aur namaze waqt pe hi ada honi chahiye.

FATAWA
*✔Sheikh Ibn Baaz(r.a)* farmate hai
“Agar haiza Aurat ko ilm hojata hai ki fajr se pahle uska haiz khatam hogya hai tab use Roza rakhna hai.Agar wo fajr ka waqt khatam hone se pahle ghusl kar le rahi hai to is tarah ki ghusl ki deri me koi haraj nahi hai.
Lekin use itni der nahi karni chahiye ke suraj nikal aye. Yahi Qanoon  Junubi(impurity after sexual activity)ke liye bhi hai.Ghusl me itni deri nahi karni chahiye k suraj nikal aye aur mardo ko chahiye ke wo jaldi ghusl kare taki wo fajr ki namaz jamat se padh sake.
*📓Fatawa Al-Sheikh Ibn Baaz*

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)