Neend Se Bedar Hone Wala Wuzu Karte Waqt Apni Nak 3 Dafa Jharhe , Kyo Ki Shetan Nak Ke Banse Me Rat Guzarata Hai
Sahi Bukhari Hadith 3295
Aur Ye Dua Padhe
“Alhamdulillaahillazi ahyaanaa ba’da maa amaata-naa wa ilaihinnushuur”.
Har Qism Ki Tarif Allah Hi Ke Liye Hai Jisane Hume Zinda Kiya Bad Iske Ki Usne Hume Mar Diya Tha Aur Usi Ki Taraf Uth Kar Jana Hai
Sahi Bukhari Hadith 6312
DUA KARNE KA TAREEQA KYA HAI ??
Dua Karne Ka Tariqa Kya Hai?
Jawab- Jab Koi Shakhs Dua Karne Bethe To Pahle Allah T’ala Ki Khoob Hamd- Sana Bayan Kare Aur Allah Ki Tarife Kare, Phir Uske Nabi Hazrat Muhammad Sallallahu Alahi Wasallam Par Darud Padhe Phir Apne Haq Me Duaye Kare
Hadith- Allah Ke Rasul s.a.w Ne Ek Shakhs Ko Dua Karte Suna Lekin Pahle Allah Ki Tarif Nahi Ki Aur Uske Rasul s.a.w Par Darud Padha To Rasul s.a.w Ne Farmaya Isne Dua Me Jaldi Ki
Phir Use Bulaya Aur Farmaya Jab Namaz Padho To Pahale Allah Ki Tarif Karo Aur Mujh Par Darud Padho Phir Jo Dua Karni Hai Karo
- Allah subhanahu se Magfirat aur Aafyiat manga karo kyuki - 14th June 2017
- Sajda e Tilawat ki dua - 14th June 2017
- Bewaon aur miskeenon ke kaam aaney wala - 14th June 2017